raaz
zamīñ se falak tak
āḳhirī jhalak tak
marāsim diloñ ke
be-nām manziloñ ke
ḳhalāoñ se guftugū
apnī hī justujū
chāhatoñ ke silsile
sadiyoñ ke marhale
aur chhor se nahīñ koī
qāfile hī qāfile
insānī jismoñ ke
tahzībī qasmoñ ke
har jism ek tilism hai
har tilism ek dil hai
is dil ke
raaz samajhnā
baaqī haiñ abhī
zamin se falak tak
aaKHiri jhalak tak
marasim dilon ke
be-nam manzilon ke
KHalaon se guftugu
apni hi justuju
chahaton ke silsile
sadiyon ke marhale
aur chhor se nahin koi
qafile hi qafile
insani jismon ke
tahzibi qasmon ke
har jism ek tilism hai
har tilism ek dil hai
is dil ke
raaz samajhna
baqi hain abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.