rab bhi taire jaisa hai man
shīrīñ nirmal jharne jaisī
ThanDī taaza havā ke aisī
rim-jhim aur barkhā kī tarah tū
sūraj aur chandā sī saḳhī hai
jaltī dhuup meñ bādal hai tū
rab ke pyaar kī chhāgal hai tū
haañ maañ bilkul aisī hai tū
to siitā to mariyam hai maañ
rābiya aur safiya hai
tū hai yashodhā tū hai halīma
zainab tū hai fātima hai tū
pārvatī aur devkī hai
aamna aur havvā hai tū
ye dhartī ye duniyā tujh se
duniyā kī sab raunaq tujh se
tū duniyā kī mālik hai
ye duniyā terī hai maañ
tū ne ham ko kyā kyā baḳhshe
pair payambar bhaa.ī dost
aur phūloñ sī bahnā dī
har sukh aur har ġham kī sāthī
bilkul apnī hī jaisī
mahbūba bhī tū ne dī
tū sach-much devī hai maañ
saare rishte naate tujh se
rishtoñ kī jananī hai tū
haañ maañ bilkul aisī hai tū
tū hai karīm aur tū hai halīm
ḳhāliq tū hai rāziq hai tū
sattārī ġhaffārī tujh meñ
rahmat aur azmat kī mūrat
rab ke saare gun haiñ tujh meñ
maañ bilkul tū rab jaisī hai
yā shāyad rab tere jaisā
kyuuñ ki maañ ab rab bhī to
terī tarah majbūr bahut hai
apnoñ ke zaḳhmoñ se vo bhī
lagtā hai ki chor bahut hai
maañ bilkul tū rab jaisī hai
yā shāyad rab tere jaisā
shirin nirmal jharne jaisi
ThanDi taza hawa ke aisi
rim-jhim aur barkha ki tarah tu
suraj aur chanda si saKHi hai
jalti dhup mein baadal hai tu
rab ke pyar ki chhagal hai tu
han man bilkul aisi hai tu
to sita to mariyam hai man
rabiya aur safiya hai
tu hai yashodha tu hai halima
zainab tu hai fatima hai tu
parwati aur dewki hai
aamna aur hawwa hai tu
ye dharti ye duniya tujh se
duniya ki sab raunaq tujh se
tu duniya ki malik hai
ye duniya teri hai man
tu ne hum ko kya kya baKHshe
pair payambar bhai dost
aur phulon si bahna di
har sukh aur har gham ki sathi
bilkul apni hi jaisi
mahbuba bhi tu ne di
tu sach-much dewi hai man
sare rishte nate tujh se
rishton ki janani hai tu
han man bilkul aisi hai tu
tu hai karim aur tu hai halim
KHaliq tu hai raaziq hai tu
sattari ghaffari tujh mein
rahmat aur azmat ki murat
rab ke sare gun hain tujh mein
man bilkul tu rab jaisi hai
ya shayad rab tere jaisa
kyun ki man ab rab bhi to
teri tarah majbur bahut hai
apnon ke zaKHmon se wo bhi
lagta hai ki chor bahut hai
man bilkul tu rab jaisi hai
ya shayad rab tere jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.