radd-e-amal
khulī khiḌkī pe ik būḌhā kabūtar
paroñ meñ muñh lapeTe so rahā hai
dar-o-dīvār chup sādhe hue haiñ
galī kā shor bujh kar rah gayā hai
koī āvāz ab aatī nahīñ hai
mirā kamra ḳhamoshī se bharā hai
abhī vo mujh se bāteñ kar rahā thā
magar ab dekhiye to jā chukā hai!
khuli khiDki pe ek buDha kabutar
paron mein munh lapeTe so raha hai
dar-o-diwar chup sadhe hue hain
gali ka shor bujh kar rah gaya hai
koi aawaz ab aati nahin hai
mera kamra KHamoshi se bhara hai
abhi wo mujh se baaten kar raha tha
magar ab dekhiye to ja chuka hai!
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.