radd-e-amal
ik haqīqat ik taḳhayyul
naqra.ī sī ek kashtī
do munavvar qumqume
in pe maġhrūr thī
is zamīñ kī huur thī
kis qadar masrūr thī
TuuT jā ā.īne
ab terī zarūrat hī nahīñ
nuqra.ī kashtī hai ab bachchoñ kī ik kāġhaz kī naav
vo munavvar qumqume bhī ho ga.e haiñ aaj fuse
aur sarāpā bazm huuñ maiñ
koī ḳhalvat hī nahīñ
TuuT jā ā.īne
ab terī zarūrat hī nahīñ
ek haqiqat ek taKHayyul
naqrai si ek kashti
do munawwar qumqume
in pe maghrur thi
is zamin ki hur thi
kis qadar masrur thi
TuT ja aaine
ab teri zarurat hi nahin
nuqrai kashti hai ab bachchon ki ek kaghaz ki naw
wo munawwar qumqume bhi ho gae hain aaj fuse
aur sarapa bazm hun main
koi KHalwat hi nahin
TuT ja aaine
ab teri zarurat hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.