radd-e-amal
mujhe ye yaqīñ thā
ki jab maiñ sunā.ūñgā
is shahr ko
shab ke pahlū meñ kis tarah paayā hai maiñ ne
to sab log mere qarīb aa ke
hairat se mujh ko takeñge
bharī piyāliyāñ chaa.e kī
haath se chhūT kar gir paḌeñgī
nigāhoñ meñ
gahrī udāsī ke bādal umaDne lageñge
na.e muāshare kī
bad-a.amāliyoñ aur bad-chalniyoñ par
baḌe saḳht lahje meñ tanqīd hogī
magar koī pyālī na hāthoñ se chhūTī
na gahrī udāsī nigāhoñ meñ umDī
na.e ma.āshre kī
bad-a.amāliyoñ aur bad-chalniyoñ par
kisī ne na sañg-e-malāmat hī pheñkā
sunā sirf itnā
abhī tum ko is shahr ke jānñe meñ ka.ī din lageñge
mujhe ye yaqin tha
ki jab main sunaunga
is shahr ko
shab ke pahlu mein kis tarah paya hai main ne
to sab log mere qarib aa ke
hairat se mujh ko takenge
bhari piyaliyan chae ki
hath se chhuT kar gir paDengi
nigahon mein
gahri udasi ke baadal umaDne lagenge
nae muashare ki
bad-amaliyon aur bad-chalniyon par
baDe saKHt lahje mein tanqid hogi
magar koi pyali na hathon se chhuTi
na gahri udasi nigahon mein umDi
nae maashre ki
bad-amaliyon aur bad-chalniyon par
kisi ne na sang-e-malamat hi phenka
suna sirf itna
abhi tum ko is shahr ke jaanne mein kai din lagenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.