radd-e-tashkil
ḳhudā.ī mere bātin meñ
utartī sard shāmoñ ko
kisī ta.abīr ke marqad pe
ik din chhoḌ aa.egī
mire ash.ār kī takrār se aajiz
mere alfāz ke TukḌoñ se apnī
āhanī dīvār aur shajre sajā.egī
ḳhudā.ī
mujh se mujh ko chhīn kar
apnā banāne kī tamannā meñ
mire hāthoñ se merī uñgliyāñ
kāTegī mehnat se
aur us par fikr kā kalima sunā.egī
ḳhudā.ī jāntī hai
gardanoñ par vaar karnā jurm hai
so ye
mirī āñkhoñ meñ
apnī putliyāñ bharne kī koshish meñ
adhūre tajraboñ ko āzmā.egī
mire pairoñ tale se
chhīn legī farsh merā aur
mujhe qālīn par chalnā sikhā.egī
ḳhudā.ī mere kāñdhoñ par
safar tabrīk kā tai kartī jā.egī
tasavvur ke makānoñ meñ
mire kirdār kā ik but banā.egī
khulī āñkhoñ samā.at se lade kānoñ
fasāhat se bhare hoñToñ kā
ik ḳhāmosh but
jise chhūnā man.a hogā
KHudai mere baatin mein
utarti sard shamon ko
kisi tabir ke marqad pe
ek din chhoD aaegi
mere ashaar ki takrar se aajiz
mere alfaz ke TukDon se apni
aahani diwar aur shajre sajaegi
KHudai
mujh se mujh ko chhin kar
apna banane ki tamanna mein
mere hathon se meri ungliyan
kaTegi mehnat se
aur us par fikr ka kalima sunaegi
KHudai jaanti hai
gardanon par war karna jurm hai
so ye
meri aankhon mein
apni putliyan bharne ki koshish mein
adhure tajrabon ko aazmaegi
mere pairon tale se
chhin legi farsh mera aur
mujhe qalin par chalna sikhaegi
KHudai mere kandhon par
safar tabrik ka tai karti jaegi
tasawwur ke makanon mein
mere kirdar ka ek but banaegi
khuli aankhon samaat se lade kanon
fasahat se bhare honTon ka
ek KHamosh but
jise chhuna mana hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.