raftar
zindagī apnī raftār se chal rahī thī
ek din
havāoñ ne zor pakḌā
tūfān aa gayā
baaġh ke saare peḌoñ ko hilā gayā
havā.eñ shā.eñ shā.eñ kartī rahīñ
chhoTe baḌe paude chiñghāḌte rahe
peḌ jhuum jhuum kar niDhāl ho ga.e
aur āḳhir-e-kār
thak kar behāl ho ga.e
achānak zor kī charcharāhaT huī
baaġh kā sin-rasīda daraḳht
zamīñ-bos ho gayā
añdherā chhāne lagā
bijlī kaḌakne lagī
phuvār paḌne lagī
aur āhista āhista
zindagī apnī raftār par chalne lagī
zindagi apni raftar se chal rahi thi
ek din
hawaon ne zor pakDa
tufan aa gaya
bagh ke sare peDon ko hila gaya
hawaen shaen shaen karti rahin
chhoTe baDe paude chinghaDte rahe
peD jhum jhum kar niDhaal ho gae
aur aaKHir-e-kar
thak kar behaal ho gae
achanak zor ki charcharahaT hui
bagh ka sin-rasida daraKHt
zamin-bos ho gaya
andhera chhane laga
bijli kaDakne lagi
phuwar paDne lagi
aur aahista aahista
zindagi apni raftar par chalne lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.