raftagan
haiñ yād-hā-e-rafta ke dīvār-o-dar kahāñ
vo sañg-e-āstāñ kahāñ vo rahguzar kahāñ
dasht-e-vafā meñ dāvat-e-dīvāngī kise
majbūr ġham ko ruḳhsat-e-āh-e-sahar kahāñ
un rāstoñ meñ DhūñDte phirte haiñ naqsh-e-pā
ai ham-rahān-e-tāza vo ahl-e-safar kahāñ
hai kaun jis ko nazr kareñ āñsuoñ ke phuul
le jaa.eñ aaj ābrū-e-chashm-e-tar kahāñ
har ajnabī se pūchh rahe haiñ nishān-e-rāh
nau-vāridān-e-shahr ko ghar kī ḳhabar kahāñ
dar dar kī ḳhaak chhānte ye din to kaT gayā
ab fikr-e-shab hai dekhiye hogī basar kahāñ
hain yaad-ha-e-rafta ke diwar-o-dar kahan
wo sang-e-astan kahan wo rahguzar kahan
dasht-e-wafa mein dawat-e-diwangi kise
majbur gham ko ruKHsat-e-ah-e-sahar kahan
un raston mein DhunDte phirte hain naqsh-e-pa
ai ham-rahan-e-taza wo ahl-e-safar kahan
hai kaun jis ko nazr karen aansuon ke phul
le jaen aaj aabru-e-chashm-e-tar kahan
har ajnabi se puchh rahe hain nishan-e-rah
nau-waridan-e-shahr ko ghar ki KHabar kahan
dar dar ki KHak chhante ye din to kaT gaya
ab fikr-e-shab hai dekhiye hogi basar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.