raftagan
Interesting Fact
(Urdu Zaban, Sargodha, November-December 1973)
yahīñ kuchh log rahte the
ki jin ke dhūl-miTTī se aTe jismoñ kī ḳhushbū
ab hamāre dil kī dhaḌkan hai
jo dukh kī raakh ko
apne lahū kī aañch de kar
zamāne meñ masarrat kī tavānā.ī luTāte the
jo logoñ
bekasoñ nādār insānoñ kī ḳhātir
apnī ḳhushiyāñ bhuul jaate haiñ
yahī vo log the vo dilrubā insāñ
jo insānoñ se baḌh kar ḳhūbsūrat the
yahin kuchh log rahte the
ki jin ke dhul-miTTi se aTe jismon ki KHushbu
ab hamare dil ki dhaDkan hai
jo dukh ki rakh ko
apne lahu ki aanch de kar
zamane mein masarrat ki tawanai luTate the
jo logon
bekason nadar insanon ki KHatir
apni KHushiyan bhul jate hain
yahi wo log the wo dilruba insan
jo insanon se baDh kar KHubsurat the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.