rah-guzar
ye rahguzar
rahguzār-e-ḳhūbāñ hai jis kā har moḌ kahkashāñ hai
sajal shagufta hasīñ dil-āvez ḳhūb-sūrat bahār sāmāñ
idhar se guzar gayā zamāna ki jaise guzre ramīda aahū
jilau meñ sub.hoñ kī muskurāhaT
laboñ pe raushan sī gungunāhaT
jabīñ pe taqdīs-e-fan kā qashqa
nazar nazar meñ sahar ke ḳhāke
lachaktī bāheñ mahakte gesū
sabīh abrū gudāz baazū
qadam qadam par paḌe haiñ halqe
Thahar Thahar kar baje haiñ ghuñghrū
ye rahguzar rahguzār-e-ḳhūbāñ hai jis kā har moḌ kahkashāñ hai
ye rahguzar
hosh-mand mehnat-kashoñ kī dānish ke shāhzādoñ kī rahguzar hai
ki jis kā har moḌ jehd-o-fan kī alāmatoñ kā nagar nagar hai
mire rafīqo
ye rahguzar ik na.ī Dagar hai
ye rahguzar fahm aur basīrat kī rahguzar hai
magar abhī zulf tā-kamar hai
ye rahguzar
rahguzar-e-KHuban hai jis ka har moD kahkashan hai
sajal shagufta hasin dil-awez KHub-surat bahaar saman
idhar se guzar gaya zamana ki jaise guzre ramida aahu
jilau mein subhon ki muskurahaT
labon pe raushan si gungunahaT
jabin pe taqdis-e-fan ka qashqa
nazar nazar mein sahar ke KHake
lachakti bahen mahakte gesu
sabih abru gudaz bazu
qadam qadam par paDe hain halqe
Thahar Thahar kar baje hain ghunghru
ye rahguzar rahguzar-e-KHuban hai jis ka har moD kahkashan hai
ye rahguzar
hosh-mand mehnat-kashon ki danish ke shahzadon ki rahguzar hai
ki jis ka har moD jehd-o-fan ki alamaton ka nagar nagar hai
mere rafiqo
ye rahguzar ek nai Dagar hai
ye rahguzar fahm aur basirat ki rahguzar hai
magar abhi zulf ta-kamar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.