rail gaDi
chhak chhak dhuāñ uḌātī
kū kū kū kū siiTī bajātī
muḌtī aur bal khātī aa.ī
paTrī par lahrātī aa.ī
station par aa.ī rail
hone lagī ab dhakkam-pel
koī hai girtā koī sambhaltā
koī hai chaḌhtā koī utartā
qulī qulī hai koī pukāre
koī ḳhud sāmān utāre
baabū sāhab shaan dikhā.eñ
engine jaisā dhuāñ uḌā.eñ
ḳhvāñche vaale haiñ chillāte
kaisī āvāzeñ haiñ lagāte
koī ḳharīde paan aur chaa.e
nanhā sirf miThā.ī khaa.e
guard ne jhanḌī harī dikhā.ī
chal dī rail hamārī bhaa.ī
bastī bastī jañgal jañgal
chal rī merī rail chalā chal
chhak chhak dhuan uDati
ku ku ku ku siTi bajati
muDti aur bal khati aai
paTri par lahraati aai
station par aai rail
hone lagi ab dhakkam-pel
koi hai girta koi sambhalta
koi hai chaDhta koi utarta
quli quli hai koi pukare
koi KHud saman utare
babu sahab shan dikhaen
engine jaisa dhuan uDaen
KHwanche wale hain chillate
kaisi aawazen hain lagate
koi KHaride pan aur chae
nanha sirf miThai khae
guard ne jhanDi hari dikhai
chal di rail hamari bhai
basti basti jangal jangal
chal ri meri rail chala chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.