rakhsha bandhan par
ye jo merā bhaa.ī hai
surme kī salā.ī hai
nak-chaḌhā to hai lekin
bahan kā fidā.ī hai
maiñ use satātī huuñ
vo bhī taao khātā hai
mujh se jiit saktā hai
phir bhī haar jaatā hai
us kī chhāñv ThanDī hai
us pe pyaar aatā hai
ḳhush rahe ḳhudā rakkhe
mannateñ manātī huuñ
us kī kāmyābī ke
maiñ diye jalātī huuñ
ye jo mera bhai hai
surme ki salai hai
nak-chaDha to hai lekin
bahan ka fidai hai
main use satati hun
wo bhi tao khata hai
mujh se jit sakta hai
phir bhi haar jata hai
us ki chhanw ThanDi hai
us pe pyar aata hai
KHush rahe KHuda rakkhe
mannaten manati hun
us ki kaamyabi ke
main diye jalati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.