rakhwala
jaane kis jañgal se aa kar
bheḌiyoñ gīdḌoñ, lomaḌiyoñ ne
terī hudūd meñ apne Thikāne DhūñD liye haiñ
lekin tere ghar meñ
kalī kalī ko chūmtā
titlī titlī āñkh-mīcholī kheltā
memanoñ aur ḳhargoshoñ ko ham-rāh liye
ik nanhā sā bachcha
tujh ko ab bhī shahr banā.e hue hai
jaane kis jangal se aa kar
bheDiyon gidDon, lomaDiyon ne
teri hudud mein apne Thikane DhunD liye hain
lekin tere ghar mein
kali kali ko chumta
titli titli aankh-micholi khelta
memanon aur KHargoshon ko ham-rah liye
ek nanha sa bachcha
tujh ko ab bhi shahr banae hue hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.