rakhi
us ke dhāgoñ meñ dil ke ḳhazāne nihāñ
us ke phūloñ meñ dariyā-e-ulfat ravāñ
ye bahan bhaa.ī kī chāhatoñ kā nishāñ
ye hai rākhī kā bandhan mire bhā.iyo
is kī tasvīr meñ hai ajab bāñkpan
is kī tārīḳh meñ ektā kā chalan
is kī azmat kā qaa.il hai saarā chaman
ye hai rākhī kā bandhan mire bhā.iyo
sirf bandhan nahīñ ek paimān hai
bhā.iyoñ ke diloñ kā ye īmān hai
apnī bahnoñ pe har bhaa.ī qurbān hai
ye hai rākhī kā bandhan mire bhā.iyo
kī humā.ūñ ne rakshā jo me.vāḌ kī
dushmanoñ ko har ik moḌ par maat dī
rakshā bandhan hī kī ye karāmāt thī
ye hai rākhī kā bandhan mire bhā.iyo
us ke dhagon mein dil ke KHazane nihan
us ke phulon mein dariya-e-ulfat rawan
ye bahan bhai ki chahaton ka nishan
ye hai rakhi ka bandhan mere bhaiyo
is ki taswir mein hai ajab bankpan
is ki tariKH mein ekta ka chalan
is ki azmat ka qail hai sara chaman
ye hai rakhi ka bandhan mere bhaiyo
sirf bandhan nahin ek paiman hai
bhaiyon ke dilon ka ye iman hai
apni bahnon pe har bhai qurban hai
ye hai rakhi ka bandhan mere bhaiyo
ki humaun ne raksha jo mewaD ki
dushmanon ko har ek moD par mat di
raksha bandhan hi ki ye karamat thi
ye hai rakhi ka bandhan mere bhaiyo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.