ramzan aaya
phir aagyā jahāñ meñ ramzān kā mahīna
allāh ke karam aur ehsān kā mahīna
allāh kī ināyat aur us kī ḳhaas rahmat
ham ko atā kiyā hai qur.ān kā mahīna
dī hai hameñ ḳhudā ne roze kī aisī ne.amat
ahl-e-ḳhirad samajhte haiñ is kī qadr-o-qīmat
shaitānī harkatoñ se rakkhe hai duur roza
baḳhshe hai aadmī ko dil kā surūr roza
ahkām par ḳhudā ke ham ko chalā.e roza
ham ko farishtoñ se bhī afzal banā.e roza
hukm-e-ḳhudā kī jis ne ta.amīl kar lī bachcho
us kī ināyatoñ se jholī bhī bhar lī bachcho
ye zabt-e-nafs kā hai aur sabr kā mahīna
ham ko sikhā rahā hai jiine kā ik qarīna
haiñ kis qadar munavvar rāteñ ibādatoñ se
aur itr-bār se haiñ din bhī riyāzatoñ se
rab ne atā kī ham ko iftār kī fazīlat
aa.ī samajh meñ khāne piine kī qadr-o-qīmat
ai rab qubūl kar le momin kī ye riyāzat
apne nabī ke sadqe meñ de de sab ko jannat
phir aagya jahan mein ramzan ka mahina
allah ke karam aur ehsan ka mahina
allah ki inayat aur us ki KHas rahmat
hum ko ata kiya hai quran ka mahina
di hai hamein KHuda ne roze ki aisi neamat
ahl-e-KHirad samajhte hain is ki qadr-o-qimat
shaitani harkaton se rakkhe hai dur roza
baKHshe hai aadmi ko dil ka surur roza
ahkaam par KHuda ke hum ko chalae roza
hum ko farishton se bhi afzal banae roza
hukm-e-KHuda ki jis ne tamil kar li bachcho
us ki inayaton se jholi bhi bhar li bachcho
ye zabt-e-nafs ka hai aur sabr ka mahina
hum ko sikha raha hai jine ka ek qarina
hain kis qadar munawwar raaten ibaadaton se
aur itr-bar se hain din bhi riyazaton se
rab ne ata ki hum ko iftar ki fazilat
aai samajh mein khane pine ki qadr-o-qimat
ai rab qubul kar le momin ki ye riyazat
apne nabi ke sadqe mein de de sab ko jannat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.