rang jo KHushbu na tha
vādī-e-majnūñ meñ
ābrū-e-ḳhūn meñ
rū-e-sarshār-o-hasīñ
manzar-e-shab ke qarīñ
maiñ tumheñ tartīb duuñ
qurb kī tarġhīb duuñ
aks kī tārīf meñ
rasm kī tahrīf meñ
ek afsāna kahūñ
sub.h tak jaltā rahā huuñ
tum ḳhirām-e-nāz se
nutq-o-lab ke saaz se
marg-āsā jāñ-ba-lab
jāda-e-tārīk jab
zinda-o-raushan karo
aur lahrā kar chalo
qatl kar denā use
aks jo tum sā na thā
harf jo mujh sā na thā
jazb-e-sho.ala-e-ḳhū na thā
rañg jo ḳhushbū na thā
wadi-e-majnun mein
aabru-e-KHun mein
ru-e-sarshaar-o-hasin
manzar-e-shab ke qarin
main tumhein tartib dun
qurb ki targhib dun
aks ki tarif mein
rasm ki tahrif mein
ek afsana kahun
subh tak jalta raha hun
tum KHiram-e-naz se
nutq-o-lab ke saz se
marg-asa jaan-ba-lab
jada-e-tarik jab
zinda-o-raushan karo
aur lahra kar chalo
qatl kar dena use
aks jo tum sa na tha
harf jo mujh sa na tha
jazb-e-shoala-e-KHu na tha
rang jo KHushbu na tha
- Book : Lambi Barish (Pg. 127)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.