rang lahu ka
āḳhir kab tak
duur chanāroñ ke pīchhe
ThiThurī akḌī
ek ma.asūm sī chunarī hai
jis ke rañgoñ meñ ab tak bhī
vahī tāzgī vahī damak aur vahī phaban hai
haañ us chunarī ke rañgoñ ke biich meñ
ik aur rang ne maskan banā liyā hai
rang lahū kā
jo chunarī se ristā ristā
barf ke zarroñ meñ ghul-mil kar
tham sā gayā hai
jam sā gayā hai
jaise aañsū
aur ye rang lahū kā
āne-jāne vāloñ ke pairoñ se
lipaT lipaT kar
pūchh rahā hai
āḳhir kab tak
āḳhir kab tak
aaKHir kab tak
dur chanaron ke pichhe
ThiThuri akDi
ek masum si chunari hai
jis ke rangon mein ab tak bhi
wahi tazgi wahi damak aur wahi phaban hai
han us chunari ke rangon ke bich mein
ek aur rang ne maskan bana liya hai
rang lahu ka
jo chunari se rista rista
barf ke zarron mein ghul-mil kar
tham sa gaya hai
jam sa gaya hai
jaise aansu
aur ye rang lahu ka
aane-jaane walon ke pairon se
lipaT lipaT kar
puchh raha hai
aaKHir kab tak
aaKHir kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.