rang
laḌkī
tasvīreñ banātī hai
safed kāġhaz par
idhar se udhar ko
bahut saarī lakīreñ Dāltī hai
in meñ koī bhī lakīreñ
ek dūsre ko chhū kar nahīñ guzartī
shahr se bāhar jaane vaalī saḌkoñ kī tarah
sab lakīreñ
kisī na.ī jagah pahuñchā detī haiñ
ham vahāñ se vāpas nahīñ aa sakte
lakīr ke āḳhirī sire par
hameñ Thahrā dekh ke
laḌkī pareshān ho jaatī hai
vo ā.īvarī paper par
bahut se nuqte Dāltī hai
aur phir surḳh pencil se
inhīñ lakīroñ se milāne lagtī hai
thoḌī hī der meñ
ek nayā barr-e-āzam numūdār ho jaatā hai
laḌkī lakīr ke sire par
Thahre hue aadmī ko
apne barr-e-āzam ke ek jazīre par le jā kar
chhoḌ detī hai
is jazīre par abhī shāyad
bahut ziyāda bādal
bahut ziyāda āsmān
bahut ziyāda ḳhāmoshī
aur bahut ziyāda tanhā.ī hai
itnī saarī chīzoñ ke
zarūrat se ziyāda hone par
aadmī Dar jaatā hai aur
rone lagtā hai
vo kahtā hai mujhe ek shahr chāhiye
laḌkī va.ada kartī aur use
apnī banā.ī huī bahut sī tasvīreñ dikhātī hai
jin meñ dariyā samundar jañgal aur shahr
hamesha maujūd rahte haiñ
vo ek shahr ko apne paas rakh letā hai
laḌkī ek aur shahr banātī hai
us shahr meñ abhī koī nahīñ rahtā
bahut ziyāda ḳhālī ghar
bahut ziyāda ḳhālī rāste
bahut ziyāda ḳhālī āsmān
laḌkī apne shahr ko dekhtī hai
aur ḳhāmosh ho jaatī hai
vo ro nahīñ saktī
use ḳhāmosh baiThā dekh ke
aadmī rañgīn pencileñ uThā kar
bahut ziyāda ḳhālī shahr meñ
rañg bharne lagtā hai
laDki
taswiren banati hai
safed kaghaz par
idhar se udhar ko
bahut sari lakiren Dalti hai
in mein koi bhi lakiren
ek dusre ko chhu kar nahin guzarti
shahr se bahar jaane wali saDkon ki tarah
sab lakiren
kisi nai jagah pahuncha deti hain
hum wahan se wapas nahin aa sakte
lakir ke aaKHiri sire par
hamein Thahra dekh ke
laDki pareshan ho jati hai
wo aaiwari paper par
bahut se nuqte Dalti hai
aur phir surKH pencil se
inhin lakiron se milane lagti hai
thoDi hi der mein
ek naya barr-e-azam numudar ho jata hai
laDki lakir ke sire par
Thahre hue aadmi ko
apne barr-e-azam ke ek jazire par le ja kar
chhoD deti hai
is jazire par abhi shayad
bahut ziyaada baadal
bahut ziyaada aasman
bahut ziyaada KHamoshi
aur bahut ziyaada tanhai hai
itni sari chizon ke
zarurat se ziyaada hone par
aadmi Dar jata hai aur
rone lagta hai
wo kahta hai mujhe ek shahr chahiye
laDki wada karti aur use
apni banai hui bahut si taswiren dikhati hai
jin mein dariya samundar jangal aur shahr
hamesha maujud rahte hain
wo ek shahr ko apne pas rakh leta hai
laDki ek aur shahr banati hai
us shahr mein abhi koi nahin rahta
bahut ziyaada KHali ghar
bahut ziyaada KHali raste
bahut ziyaada KHali aasman
laDki apne shahr ko dekhti hai
aur KHamosh ho jati hai
wo ro nahin sakti
use KHamosh baiTha dekh ke
aadmi rangin pencilen uTha kar
bahut ziyaada KHali shahr mein
rang bharne lagta hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 355)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.