rangin kuDe-dan aur recycling
laal hare niile piile Dabbe
kachre ke rañgīle Dabbe
laal meñ rakkho ghar kā kuuḌā
TuuTe bartan TuuTā ghoḌā
phal sabzī ke biij aur chhilke
hare meñ rakkho pyaar se dil se
niile meñ rakhnā raddī paper
gatte Dabbe lakḌī kī motor
plastic aur ye duudh ke Dabbe
juice ke hoñ yā Tiin ke Dabbe
piile rang meñ in ko rakho
recycling kā jaadū dekho
duniyā bhar kā kuuḌā karkaT
saaf kareñ ham jaldī faT faT
aao kachrā kam phailā.eñ
duniyā ko rañgīn banā.eñ
lal hare nile pile Dabbe
kachre ke rangile Dabbe
lal mein rakkho ghar ka kuDa
TuTe bartan TuTa ghoDa
phal sabzi ke bij aur chhilke
hare mein rakkho pyar se dil se
nile mein rakhna raddi paper
gatte Dabbe lakDi ki motor
plastic aur ye dudh ke Dabbe
juice ke hon ya Tin ke Dabbe
pile rang mein in ko rakho
recycling ka jadu dekho
duniya bhar ka kuDa karkaT
saf karen hum jaldi faT faT
aao kachra kam phailaen
duniya ko rangin banaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.