rangin wadi
ufuq ke us taraf kahte haiñ ik rañgīn vaadī hai
vahāñ rañgīniyāñ kohsār ke dāman meñ sotī haiñ
guloñ kī nik.hateñ har chār-sū āvāra hotī haiñ
vahāñ naġhme sabā kī narm-rau maujoñ meñ bahte haiñ
vahāñ āb-e-ravāñ meñ mastiyoñ ke raqs rahte haiñ
vahāñ hai ek duniya-e-tarannum ābshāroñ meñ
vahāñ taqsīm hotā hai tabassum lāla-zāroñ meñ
sunahrī chāñd kī kirneñ vahāñ rātoñ ko aatī haiñ
vahāñ pariyāñ mohabbat ke ḳhudā ke giit gaatī haiñ
kanār-e-āb-e-husn-o-ishq bāham sair karte haiñ
ga.ī-guzrī ġhalat-fahmī kā zikr-e-ḳhair karte haiñ
vahāñ ke rahne vāloñ ko gunah karnā nahīñ aatā
zalīl o mubtazil jazbāt se Darnā nahīñ aatā
vahāñ ahl-e-mohabbat kā na koī naam dhartā hai
vahāñ ahl-e-mohabbat par na koī rashk kartā hai
mohabbat karne vāloñ ko vahāñ rusvā nahīñ karte
mohabbat karne vāloñ kā vahāñ charchā nahīñ karte
ham aksar sochte haiñ tañg aa kar kahīñ chal deñ
mirī jaañ! ai mire ḳhvāboñ kī duniyā chal vahīñ chal deñ
ufuq ke us taraf kahte haiñ ik rañgīn vaadī hai
ufuq ke us taraf kahte hain ek rangin wadi hai
wahan ranginiyan kohsar ke daman mein soti hain
gulon ki nikhaten har chaar-su aawara hoti hain
wahan naghme saba ki narm-rau maujon mein bahte hain
wahan aab-e-rawan mein mastiyon ke raqs rahte hain
wahan hai ek duniya-e-tarannum aabshaaron mein
wahan taqsim hota hai tabassum lala-zaron mein
sunahri chand ki kirnen wahan raaton ko aati hain
wahan pariyan mohabbat ke KHuda ke git gati hain
kanar-e-ab-e-husn-o-ishq baham sair karte hain
gai-guzri ghalat-fahmi ka zikr-e-KHair karte hain
wahan ke rahne walon ko gunah karna nahin aata
zalil o mubtazil jazbaat se Darna nahin aata
wahan ahl-e-mohabbat ka na koi nam dharta hai
wahan ahl-e-mohabbat par na koi rashk karta hai
mohabbat karne walon ko wahan ruswa nahin karte
mohabbat karne walon ka wahan charcha nahin karte
hum aksar sochte hain tang aa kar kahin chal den
meri jaan! ai mere KHwabon ki duniya chal wahin chal den
ufuq ke us taraf kahte hain ek rangin wadi hai
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 1050)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.