tumhī ko aaj mire rū-ba-rū bhī honā thā
aur aise rañg meñ jis kā kabhī gumāñ bhī na ho
nigāh tund ġhazabnāk dil kalām durusht
chaman meñ jaise kisī bāġhbāñ kī āñkhoñ ne
ravish ke saath hī nanhe se ek paude ko
shagufta ho ke sañvarte nikharte dekhā ho
mirī tumhārī kahānī yahī kahānī hai
ravish par sar ko uThā.e har ek soch se duur
maiñ apnī dhan meñ magan thā har taaza qadam
mire ufuq pe chamakte hue sitāre kī
har ik kiran ko mire paas laa.e jaatā thā
mujhe na ḳhaar kā andesha thā na Thokar kā
magar ye bhuul thī merī vo ḳhud-farāmoshī
mire hī sāmne aa.ī hai aur sūrat meñ
nigāh tund ġhazabnāk dil kalām durusht
magar ab us kī zarūrat nahīñ maiñ sochtā huuñ
tumhī ko aaj mire rū-ba-rū na honā thā
jahāñ maiñ aur bhī the mujh se tum se baḌh ke kahīñ
jo ajnabī the jinheñ ajnabī hī rahnā thā
mujhe kisī ne batāyā hai aap ke ye dost
hamesha raat ga.e apne ghar ko aate haiñ
laboñ se siiTī bajāte haiñ gungunāte haiñ
kisī kī aah kisī ke karam se miTtī hai
maiñ tujh se kahtī huuñ bahnā ye kyā zamāna hai
na apne naam kā kuchh paas hai na ghar kī laaj
ga.e mahīne se har roz raat ko chhup kar
hamārī biibī kisī mardue se miltī hai
mujhe ye fikr nahīñ naukaroñ ko aadat hai
ki par ko kavvā banāte haiñ raa.ī kā parbat
bas ek dhyān kisī tiir kī tarah sīdhā
ye soch ban ke mire dil meñ aa Thahartā hai
yahī hai jis kā kabhī naam lājvantī thā
tumhi ko aaj mere ru-ba-ru bhi hona tha
aur aise rang mein jis ka kabhi guman bhi na ho
nigah tund ghazabnak dil kalam durusht
chaman mein jaise kisi baghban ki aankhon ne
rawish ke sath hi nanhe se ek paude ko
shagufta ho ke sanwarte nikharte dekha ho
meri tumhaari kahani yahi kahani hai
rawish par sar ko uThae har ek soch se dur
main apni dhan mein magan tha har taza qadam
mere ufuq pe chamakte hue sitare ki
har ek kiran ko mere pas lae jata tha
mujhe na KHar ka andesha tha na Thokar ka
magar ye bhul thi meri wo KHud-faramoshi
mere hi samne aai hai aur surat mein
nigah tund ghazabnak dil kalam durusht
magar ab us ki zarurat nahin main sochta hun
tumhi ko aaj mere ru-ba-ru na hona tha
jahan main aur bhi the mujh se tum se baDh ke kahin
jo ajnabi the jinhen ajnabi hi rahna tha
mujhe kisi ne bataya hai aap ke ye dost
hamesha raat gae apne ghar ko aate hain
labon se siTi bajate hain gungunate hain
kisi ki aah kisi ke karam se miTti hai
main tujh se kahti hun bahna ye kya zamana hai
na apne nam ka kuchh pas hai na ghar ki laj
gae mahine se har roz raat ko chhup kar
hamari bibi kisi mardue se milti hai
mujhe ye fikr nahin naukaron ko aadat hai
ki par ko kawwa banate hain rai ka parbat
bas ek dhyan kisi tir ki tarah sidha
ye soch ban ke mere dil mein aa Thaharta hai
yahi hai jis ka kabhi nam lajwanti tha
- Book : Pakistani Adab (Pg. 231)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.