raqqasa-e-auham
asnām-e-imārat kā parastār hai aalam
sarmāya-e-ġhaflat kā ḳharīdār hai aalam
kaTtī haiñ sadā sidq maqāloñ kī zabāneñ
haq-go ke liye arsa-gah-e-dār hai aalam
darvesh-e-ḳhudā nān-e-shabīna ko hai muhtāj
go ne.amat-o-ikrām kā bāzār hai aalam
shādāb hai din-rāt ġharīboñ ke lahū se
arbāb-e-zar-o-sīm kā gulzār hai aalam
ḳhud zāhid-e-sad-sāla giraftār hai jis meñ
vo halqa-e-tazvīr-o-fusūñ-zār hai aalam
har gaam pe hai sho.abada-e-nafs kā phandā
raqqāsa-e-auhām kā darbār hai aalam
dil ḳhizr kā hai naġhma-e-be-mānī pe raqsāñ
tahzīb ke pāzeb kā jhankār hai aalam
is qahba-e-bāzārī se rakho na tavaqqo
ehsān farāmosh-o-ziyāñ-kār hai aalam
sar rakhtā hai āvāra-mizājoñ ke qadam par
ye haq meñ vafādāroñ ke talvār hai aalam
shā.ir ke nahīñ siine meñ gunjā.ish-e-takiya
maanā ki bahut dilkash-o-purkār hai aalam
is ahd-e-pur-āshob meñ 'bebāk' na pūchho
kis darja jafā-kash-o-sitam-gār hai aalam
asnam-e-imarat ka parastar hai aalam
sarmaya-e-ghaflat ka KHaridar hai aalam
kaTti hain sada sidq maqalon ki zabanen
haq-go ke liye arsa-gah-e-dar hai aalam
darwesh-e-KHuda nan-e-shabina ko hai muhtaj
go neamat-o-ikram ka bazar hai aalam
shadab hai din-raat gharibon ke lahu se
arbab-e-zar-o-sim ka gulzar hai aalam
KHud zahid-e-sad-sala giraftar hai jis mein
wo halqa-e-tazwir-o-fusun-zar hai aalam
har gam pe hai shoabada-e-nafs ka phanda
raqqasa-e-auham ka darbar hai aalam
dil KHizr ka hai naghma-e-be-mani pe raqsan
tahzib ke pazeb ka jhankar hai aalam
is qahba-e-bazari se rakho na tawaqqo
ehsan faramosh-o-ziyan-kar hai aalam
sar rakhta hai aawara-mizajon ke qadam par
ye haq mein wafadaron ke talwar hai aalam
shair ke nahin sine mein gunjaish-e-takiya
mana ki bahut dilkash-o-purkar hai aalam
is ahd-e-pur-ashob mein 'bebak' na puchho
kis darja jafa-kash-o-sitam-gar hai aalam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.