raqqasa
uTThī hai maġhrib se ghaTā
piine kā mausam aa gayā
hai raqs meñ ik mah-laqā
nāzuk adā nāz-āfrīñ
haañ nāchtī jā gaa.e jā
nazroñ se dil barmā.e jā
taḌpā.e jā taḌpā.e jā
o dushman-e-duniyā-o-dīñ!
terā thiraknā ḳhuub hai
terī adā.eñ dil-nashīñ
lekin Thahar tū kaun hai
o nīm-uryāñ nāznīñ
kyā mashriqī aurat hai tū
hargiz nahīñ hargiz nahīñ
terī hañsī bebāk hai
terī nazar chālāk hai
uff kis qadar dil-soz hai
taqrīr bāzārī tirī
kitnī havas-āmoz hai
ye saada purkārī tirī
sharm aur izzat vāliyāñ
hotī haiñ iffat vāliyāñ
vo husn kī shahzādiyāñ
parde kī haiñ ābādiyāñ
chashm-e-falak ne aaj tak
dekhī nahīñ un kī jhalak
sarmāya-e-sharm-o-hayā
zevar hai un ke husn kā
shauhar ke dukh sahtī haiñ vo
muñh se nahīñ kahtī haiñ vo
kab sāmne aatī haiñ vo
ġhairat se kaT jaatī haiñ vo
e.azāz-e-millat un se hai
nām-e-sharāfat un se hai
īmān par qaa.em haiñ vo
pākīza-o-sā.em haiñ vo
tujh meñ nahīñ sharm-o-hayā
tujh meñ nahīñ mehr-o-vafā
sach sach batā tū kaun hai
o be-hayā tū kaun hai
ehsās-e-izzat kyuuñ nahīñ
sharm aur ġhairat kyuuñ nahīñ
ye pur-fusūñ ġhamze tire
nā-mahramoñ ke sāmne
haT sāmne se duur ho
mardūd ho maqhūr ho
taqdīr kī heTī hai tū
shaitān kī beTī hai tū
jis qaum kī aurat hai tū
us qaum par la.anat hai tū
lekin Thahar jaanā zarā
terī nahīñ koī ḳhatā
mardoñ meñ ġhairat hī nahīñ
qaumī hamīyat hī nahīñ
vo millat-e-baizā ki thī
saare jahāñ kī raushnī
jam.iyyat-e-islāmiyāñ
shāhanshah-e-hindostāñ
ab is meñ dam kuchh bhī nahīñ
ham kyā haiñ ham kuchh bhī nahīñ
millī siyāsat uTh ga.ī
baazū kī tāqat uTh ga.ī
shān-e-hijāzī ab kahāñ
vo turktāzī ab kahāñ
ab ġhaznavī himmat ga.ī
ab bābarī shaukat ga.ī
īmān ālamgīr kā
muslim ke dil se uTh gayā
qaum ab jafā-pesha huī
izzat gadā-pesha huī
ab rañg hī kuchh aur hai
be-ġhairatī kā daur hai
ye qaum ab miTne ko hai
ye nard ab piTne ko hai
afsos ye hindostāñ!
ye gulshan-e-jannat-nishāñ!
īmān-dāroñ kā vatan
tā.at-guzāroñ kā vatan
rah jā.egā vīrāna phir
ban jā.egā but-ḳhāna phir
lekin mujhe kyā ḳhabt hai
taqrīr kyuuñ be-rabt hai
aisā bahak jaatā huuñ maiñ
muñh aa.ī bak jaatā huuñ maiñ
itnā sharābī ho gayā
aql-o-ḳhirad ko kho gayā
mujh ko zamāne se ġharaz
miTne miTāne se ġharaz
hindostāñ se kaam kyā
andesha-e-anjām kyā
jiine do jiine do mujhe
piine do piine do mujhe
jab hashr kā din aa.egā
us vaqt dekhā jā.egā
haañ nāchtī jā gaa.e jā
nazroñ se dil barmā.e jā
taḌpā.e jā taḌpā.e jā
o dushman-e-duniyā-o-dīñ
uTThi hai maghrib se ghaTa
pine ka mausam aa gaya
hai raqs mein ek mah-laqa
nazuk ada naz-afrin
han nachti ja gae ja
nazron se dil barmae ja
taDpae ja taDpae ja
o dushman-e-duniya-o-din!
tera thirakna KHub hai
teri adaen dil-nashin
lekin Thahar tu kaun hai
o nim-uryan naznin
kya mashriqi aurat hai tu
hargiz nahin hargiz nahin
teri hansi bebak hai
teri nazar chaalak hai
uff kis qadar dil-soz hai
taqrir bazari teri
kitni hawas-amoz hai
ye sada purkari teri
sharm aur izzat waliyan
hoti hain iffat waliyan
wo husn ki shahzadiyan
parde ki hain aabaadiyan
chashm-e-falak ne aaj tak
dekhi nahin un ki jhalak
sarmaya-e-sharm-o-haya
zewar hai un ke husn ka
shauhar ke dukh sahti hain wo
munh se nahin kahti hain wo
kab samne aati hain wo
ghairat se kaT jati hain wo
eazaz-e-millat un se hai
nam-e-sharafat un se hai
iman par qaem hain wo
pakiza-o-saem hain wo
tujh mein nahin sharm-o-haya
tujh mein nahin mehr-o-wafa
sach sach bata tu kaun hai
o be-haya tu kaun hai
ehsas-e-izzat kyun nahin
sharm aur ghairat kyun nahin
ye pur-fusun ghamze tere
na-mahramon ke samne
haT samne se dur ho
mardud ho maqhur ho
taqdir ki heTi hai tu
shaitan ki beTi hai tu
jis qaum ki aurat hai tu
us qaum par lanat hai tu
lekin Thahar jaana zara
teri nahin koi KHata
mardon mein ghairat hi nahin
qaumi hamiyat hi nahin
wo millat-e-baiza ki thi
sare jahan ki raushni
jamiyyat-e-islamiyan
shahanshah-e-hindostan
ab is mein dam kuchh bhi nahin
hum kya hain hum kuchh bhi nahin
milli siyasat uTh gai
bazu ki taqat uTh gai
shan-e-hijazi ab kahan
wo turktazi ab kahan
ab ghaznawi himmat gai
ab babari shaukat gai
iman aalamgir ka
muslim ke dil se uTh gaya
qaum ab jafa-pesha hui
izzat gada-pesha hui
ab rang hi kuchh aur hai
be-ghairati ka daur hai
ye qaum ab miTne ko hai
ye nard ab piTne ko hai
afsos ye hindostan!
ye gulshan-e-jannat-nishan!
iman-daron ka watan
taat-guzaron ka watan
rah jaega virana phir
ban jaega but-KHana phir
lekin mujhe kya KHabt hai
taqrir kyun be-rabt hai
aisa bahak jata hun main
munh aai bak jata hun main
itna sharabi ho gaya
aql-o-KHirad ko kho gaya
mujh ko zamane se gharaz
miTne miTane se gharaz
hindostan se kaam kya
andesha-e-anjam kya
jine do jine do mujhe
pine do pine do mujhe
jab hashr ka din aaega
us waqt dekha jaega
han nachti ja gae ja
nazron se dil barmae ja
taDpae ja taDpae ja
o dushman-e-duniya-o-din
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 369)
- Author : Khawaja Muhammad Zakariya
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.