raqs-e-agahi
rubā vo dīvāngī de mujhe
rachā.ūñ vo tāñDo
ki TuuT jaa.e ḳhāmoshī
khul jaa.eñ sile hue lab
paañv mere thirkeñ
to zamīn khisak jaa.e in qadmoñ tale
jo lutf-andoz mujhe iizā pahuñchā ke
maulā
vo barahnagī dekhī maiñ ne
jo dabīz poshākoñ meñ chhupā lī ga.ī
mujhe kaun suntā
ki faisloñ kī kursī par ma.azūr dimāġh baiThe the
maiñ ne dekhā ahl-e-rijāl ko
past-qāmatoñ ke ghere meñ
masḳhare jab ismat-darī karte haiñ fikr-o-dānish kī
tab murda ma.āshre kī be-hisī-o-bebasī ko
maiñ ne dekhā hai ma.abūd
maiñ ne saḌe-gale samāj meñ mohabbat ko pāmāl hote hue dekhā
rubā
vo dīvāngī de mujhe
rachā.ūñ vo tāñDo
ki nishāñ bhī na raheñ
zamīn-e-nāhaq ke
ruba wo diwangi de mujhe
rachaun wo tanDo
ki TuT jae KHamoshi
khul jaen sile hue lab
panw mere thirken
to zamin khisak jae in qadmon tale
jo lutf-andoz mujhe iza pahuncha ke
maula
wo barahnagi dekhi main ne
jo dabiz poshakon mein chhupa li gai
mujhe kaun sunta
ki faislon ki kursi par mazur dimagh baiThe the
main ne dekha ahl-e-rijal ko
past-qamaton ke ghere mein
masKHare jab ismat-dari karte hain fikr-o-danish ki
tab murda maashre ki be-hisi-o-bebasi ko
main ne dekha hai mabud
main ne saDe-gale samaj mein mohabbat ko pamal hote hue dekha
ruba
wo diwangi de mujhe
rachaun wo tanDo
ki nishan bhi na rahen
zamin-e-nahaq ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.