Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raqs ki raat

Noon Meem Rashid

raqs ki raat

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    raqs raat kisī ġhamza-e-uryāñ kiran

    is liye ban na sakī rāh-e-tamannā dalīl

    ki abhī duur kisī des meñ ik nanhā charāġh

    jis se tanvīr mire sīna-e-ġham-nāk meñ hai

    TimTimātā hai is andeshe meñ shāyad ki sahar ho jaa.e

    aur koī lauT ke aa na sake!

    raqs raat koī daur-e-tarab

    ban na saktā thā sitāroñ ḳhudā.ī gardish?

    mehvar-e-hāl bhī ho, jāda-e-ā.inda bhī

    aur donoñ meñ vo paivastati-e-shauq bhī ho

    jo kabhī sāhil o dariyā meñ na thii,

    phir bhī haa.il rahe yuuñ buad-e-azīm

    lab hileñ aur suḳhan āġhāz na ho

    haath baḌh jaa.eñ magar lāmisā be-jān rahe?

    tujhe ma.alūm nahīñ,

    ab bhī har sub.h darīche meñ se yuuñ jhāñktā huuñ

    jaise TuuTe hue taḳhte se koī tiira nasīb

    saḳht tūfān meñ hasrat se ufuq ko dekhe:

    kaash ubhar aa.e kahīñ se vo safīna jo mujhe

    is ġham-e-marg-e-tah-e-āb se āzād kare

    raqs shab mulāqāt se itnā to huā

    dāman-e-zīst se maiñ aaj bhī vābasta huuñ,

    lekin is taḳhta-e-nāzuk se ye ummīd kahāñ

    ki ye chashm-o-lab-e-sāhil ko kabhī chuum sake,

    raqs ki raat kisi ghamza-e-uryan ki kiran

    is liye ban na saki rah-e-tamanna ki dalil

    ki abhi dur kisi des mein ek nanha charagh

    jis se tanwir mere sina-e-gham-nak mein hai

    TimTimata hai is andeshe mein shayad ki sahar ho jae

    aur koi lauT ke aa hi na sake!

    raqs ki raat koi daur-e-tarab

    ban na sakta tha sitaron ki KHudai gardish?

    mehwar-e-haal bhi ho, jada-e-ainda bhi

    aur donon mein wo paiwastati-e-shauq bhi ho

    jo kabhi sahil o dariya mein na thi,

    phir bhi hail rahe yun buad-e-azim

    lab hilen aur suKHan aaghaz na ho

    hath baDh jaen magar lamisa be-jaan rahe?

    tujhe malum nahin,

    ab bhi har subh dariche mein se yun jhankta hun

    jaise TuTe hue taKHte se koi tera nasib

    saKHt tufan mein hasrat se ufuq ko dekhe:

    kash ubhar aae kahin se wo safina jo mujhe

    is gham-e-marg-e-tah-e-ab se aazad kare

    raqs ki shab ki mulaqat se itna to hua

    daman-e-zist se main aaj bhi wabasta hun,

    lekin is taKHta-e-nazuk se ye ummid kahan

    ki ye chashm-o-lab-e-sahil ko kabhi chum sake,

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now