raqs
vo ruup rañg raag kā payām le ke aa gayā
vo kām-dev kī kamān jaam le ke aa gayā
vo chāñdnī kī narm narm aañch meñ tapī huī
samundaroñ ke jhaag se banī huī javāniyāñ
harī harī ravish pe ham-qadam bhī ham-kalām bhī
badan mahak mahak ke chal
kamar lachak lachak ke chal
qadam bahak bahak ke chal
vo ruup rañg raag kā payām le ke aa gayā
vo kām-dev kī kamān jaam le ke aa gayā
ilāhī ye bisāt-e-raqs aur bhī basīt ho
sadā-e-tesha kāmrāñ ho kohkan kī jiit ho
wo rup rang rag ka payam le ke aa gaya
wo kaam-dew ki kaman jam le ke aa gaya
wo chandni ki narm narm aanch mein tapi hui
samundaron ke jhag se bani hui jawaniyan
hari hari rawish pe ham-qadam bhi ham-kalam bhi
badan mahak mahak ke chal
kamar lachak lachak ke chal
qadam bahak bahak ke chal
wo rup rang rag ka payam le ke aa gaya
wo kaam-dew ki kaman jam le ke aa gaya
ilahi ye bisat-e-raqs aur bhi basit ho
sada-e-tesha kaamran ho kohkan ki jit ho
- Book : Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 180)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.