raqs
ai mirī ham-raqs mujh ko thaam le
zindagī se bhaag kar aayā huuñ maiñ
Dar se larzāñ huuñ kahīñ aisā na ho
raqs-gah ke chor darvāze se aa kar zindagī
DhūñD le mujh ko, nishāñ pā le merā
aur jurm-e-aish karte dekh le!
ai mirī ham-raqs mujh ko thaam le
raqs kī ye gardisheñ
ek mub.ham āsiyā ke daur haiñ
kaisī sar-garmī se ġham ko rauñdtā jaatā huuñ maiñ!
jī maiñ kahtā huuñ ki haañ
raqs-gāh meñ zindagī ke jhāñkne se pesh-tar
kulfatoñ kā sañg-reza ek bhī rahne na paa.e!
ai mirī ham-raqs mujh ko thaam le
zindagī mere liye
ek ḳhūnīñ bheḌiye se kam nahīñ
ai hasīn o ajnabī aurat usī ke Dar se maiñ
ho rahā huuñ lamha lamha aur bhī tere qarīb
jāntā huuñ tū mirī jaañ bhī nahīñ
tujh se milne kā phir imkāñ bhī nahīñ
tū mirī in ārzuoñ kī magar tamsīl hai
jo rahīñ mujh se gurezāñ aaj tak!
ai mirī ham-raqs mujh ko thaam le
ahd-e-pārīna kā maiñ insāñ nahīñ
bandagī se is dar o dīvār kī
ho chukī haiñ ḳhvāhisheñ be-soz-o-rañg o nā-tavāñ
jism se tere lipaT saktā to huuñ
zindagī par maiñ jhapaT saktā nahīñ!
is liye ab thaam le
ai hasīn o ajnabī aurat mujhe ab thaam le!
ai meri ham-raqs mujh ko tham le
zindagi se bhag kar aaya hun main
Dar se larzan hun kahin aisa na ho
raqs-gah ke chor darwaze se aa kar zindagi
DhunD le mujh ko, nishan pa le mera
aur jurm-e-aish karte dekh le!
ai meri ham-raqs mujh ko tham le
raqs ki ye gardishen
ek mubham aasiya ke daur hain
kaisi sar-garmi se gham ko raundta jata hun main!
ji main kahta hun ki han
raqs-gah mein zindagi ke jhankne se pesh-tar
kulfaton ka sang-reza ek bhi rahne na pae!
ai meri ham-raqs mujh ko tham le
zindagi mere liye
ek KHunin bheDiye se kam nahin
ai hasin o ajnabi aurat usi ke Dar se main
ho raha hun lamha lamha aur bhi tere qarib
jaanta hun tu meri jaan bhi nahin
tujh se milne ka phir imkan bhi nahin
tu meri in aarzuon ki magar tamsil hai
jo rahin mujh se gurezan aaj tak!
ai meri ham-raqs mujh ko tham le
ahd-e-parina ka main insan nahin
bandagi se is dar o diwar ki
ho chuki hain KHwahishen be-soz-o-rang o na-tawan
jism se tere lipaT sakta to hun
zindagi par main jhapaT sakta nahin!
is liye ab tham le
ai hasin o ajnabi aurat mujhe ab tham le!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.