maiñ ye chāhtī huuñ ki duniyā kī āñkheñ mujhe dekhtī jaa.eñ yuuñ dekhtī jaa.eñ jaise
koī peḌ kī narm Tahnī ko dekhe
lachaktī huī narm Tahnī ko dekhe
magar bojh pattoñ kā utre hue pairahan kī tarah sach ke saath hī farsh par ek maslā huā
Dher ban kar paḌā ho
maiñ ye chāhtī huuñ ki jhoñke havā ke lipaTte chale jaa.eñ mujh se
machalte hue chheḌ karte hue hañste hañste koī baat kahte hue laaj ke bojh
se rukte rukte sambhalte hue ras kī rañgīn sargoshiyoñ meñ
maiñ ye chāhtī huuñ kabhī chalte chalte kabhī dauḌte dauḌte baḌhtī jā.ūñ
havā jaise nadī kī lahroñ se chhūte hue sarsarāte hue bahtī jaatī hai ruktī
nahīñ hai
agar koī panchhī suhānī sadā meñ kahīñ giit gaa.e
to āvāz kī garm lahreñ mire jism se aa ke Takrā.eñ aur lauT jaa.eñ Thaharne na paa.eñ
kabhī garm kirneñ kabhī narm jhoñke
kabhī mīThī mīThī fusūñ-sāz bāteñ
kabhī kuchh kabhī kuchh na.e se nayā rañg ubhre
ubharte hī tahlīl ho jaa.e phailī fazā meñ
koī chiiz mere masarrat ke ghere meñ rukne na paa.e
masarrat kā gherā simaTtā chalā jā rahā hai
khulā khet gandum kā phailā huā hai
bahut duur ākāsh kā shāmiyāna anokhī masahrī banā.e rasīle ishāroñ se bahkā rahā hai
thapeḌoñ se paanī kī āvāz panchhī ke gītoñ meñ ghul kar phisalte hue ab nigāhoñ se ojhal huī jā rahī hai
maiñ baiThī huī huuñ
dupaTTā mere sar se Dhalkā huā hai
mujhe dhyān aatā nahīñ hai mire gesuoñ ko koī dekh legā
masarrat kā gherā simaTtā chalā jā rahā hai
bas ab aur koī na.ī chiiz mere masarrat ke ghere meñ aane na paa.e
main ye chahti hun ki duniya ki aankhen mujhe dekhti jaen yun dekhti jaen jaise
koi peD ki narm Tahni ko dekhe
lachakti hui narm Tahni ko dekhe
magar bojh patton ka utre hue pairahan ki tarah sach ke sath hi farsh par ek masla hua
Dher ban kar paDa ho
main ye chahti hun ki jhonke hawa ke lipaTte chale jaen mujh se
machalte hue chheD karte hue hanste hanste koi baat kahte hue laj ke bojh
se rukte rukte sambhalte hue ras ki rangin sargoshiyon mein
main ye chahti hun kabhi chalte chalte kabhi dauDte dauDte baDhti jaun
hawa jaise nadi ki lahron se chhute hue sarsaraate hue bahti jati hai rukti
nahin hai
agar koi panchhi suhani sada mein kahin git gae
to aawaz ki garm lahren mere jism se aa ke Takraen aur lauT jaen Thaharne na paen
kabhi garm kirnen kabhi narm jhonke
kabhi miThi miThi fusun-saz baaten
kabhi kuchh kabhi kuchh nae se naya rang ubhre
ubharte hi tahlil ho jae phaili faza mein
koi chiz mere masarrat ke ghere mein rukne na pae
masarrat ka ghera simaTta chala ja raha hai
khula khet gandum ka phaila hua hai
bahut dur aakash ka shamiyana anokhi masahri banae rasile ishaaron se bahka raha hai
thapeDon se pani ki aawaz panchhi ke giton mein ghul kar phisalte hue ab nigahon se ojhal hui ja rahi hai
main baiThi hui hun
dupaTTa mere sar se Dhalka hua hai
mujhe dhyan aata nahin hai mere gesuon ko koi dekh lega
masarrat ka ghera simaTta chala ja raha hai
bas ab aur koi nai chiz mere masarrat ke ghere mein aane na pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.