ras
merī taḳh.īl tirī zaat meñ ras gholtī hai
ek mīnār
falak-bos jafā-jū sarkash
gungunātā to nahīñ
harf banā letā hai
mere dil meñ kabhī do harf jhalak uThte haiñ
jaise mizrāb se phuuT aate haiñ
sārangī meñ
kaun mizrāb hai
vo kaun sī sārangī hai
jo mirī ruuh ke har taar meñ ras gholtī hai
gul mahak uThte haiñ jab bād-e-sabā Doltī hai
jhuum kar mai-kada-e-ḳhvāb ke paT kholtī hai
meri taKHil teri zat mein ras gholti hai
ek minar
falak-bos jafa-ju sarkash
gungunata to nahin
harf bana leta hai
mere dil mein kabhi do harf jhalak uThte hain
jaise mizrab se phuT aate hain
sarangi mein
kaun mizrab hai
wo kaun si sarangi hai
jo meri ruh ke har tar mein ras gholti hai
gul mahak uThte hain jab baad-e-saba Dolti hai
jhum kar mai-kada-e-KHwab ke paT kholti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.