rashTra-gan
siip ke hoñT par ek motī jaḌā
ik sunahrī hathelī pe hiirā paḌā
hind-sāgar kī bāñhoñ meñ bikhrā huā
ye hamārā vatan svarg kā giit hai
rakt hindī kā nas nas meñ dauḌe yahāñ
rang chokhā bhare khusravī kārvāñ
chheḌ kar apnī bhūlī huī dāstāñ
ḳhatm kar deñ sabhī vaqt kī dūriyāñ
paanī phaTtā nahīñ
ḳhuun baTtā nahīñ
sunte aa.e haiñ ham
boltā hai qalam
pyaar mānavtā kī ik amar niit hai
ye hamārā vatan svarg kā giit hai
sip ke honT par ek moti jaDa
ek sunahri hatheli pe hira paDa
hind-sagar ki banhon mein bikhra hua
ye hamara watan swarg ka git hai
rakt hindi ka nas nas mein dauDe yahan
rang chokha bhare khusrawi karwan
chheD kar apni bhuli hui dastan
KHatm kar den sabhi waqt ki duriyan
pani phaTta nahin
KHun baTta nahin
sunte aae hain hum
bolta hai qalam
pyar manawta ki ek amar nit hai
ye hamara watan swarg ka git hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.