rasm-e-andesha se farigh hue hum
rasm-e-andesha se fāriġh hue ham
apne dāmāñ kī shikan meñ simTe
kaf-e-ayyām kī pur-pech lakīroñ meñ kahīñ
apne ā.inda-e-nādīda se sahme hue ham
gaah ijmāl-e-guzishta pe gulū-gīr hue
jaise dhul jā.egā bechārī rivāyāt ke shānoñ kā ġhubār
chand bīmār irādoñ kī ayādat chāhī
gaah nāyāb duāoñ kā shumār
aur taqrīr ke pechīda savālāt ko dohrāte hue
ek ik kar ke sab ahbāb ne ruḳhsat chāhī
rasm-e-andesha kī taqrīb-e-mulāqāt se fāriġh hue ham
rasm-e-andesha kisī aur zamāne kā gunāh
aur duniyāoñ kā jurm
jis kī zanjīr-e-mukāfāt meñ uljhe hue ham
apne ajdād ke āsār ke derīna faqīr
kāsa-bar-dosh sar-e-dast-e-atā jaate haiñ
maut bar-dosh sar-e-dast-e-atā jaate haiñ
maut aur vasl kī ta.abīr pe sargarm-e-kalām
apnī tārīḳh kā insāf bajā laate haiñ
rasm-e-andesha kī tārīḳh-e-mukāfāt
ke maare hue ham
rasm-e-andesha se farigh hue hum
apne daman ki shikan mein simTe
kaf-e-ayyam ki pur-pech lakiron mein kahin
apne aainda-e-nadida se sahme hue hum
gah ijmal-e-guzishta pe gulu-gir hue
jaise dhul jaega bechaari riwayat ke shanon ka ghubar
chand bimar iradon ki ayaadat chahi
gah nayab duaon ka shumar
aur taqrir ke pechida sawalat ko dohraate hue
ek ek kar ke sab ahbab ne ruKHsat chahi
rasm-e-andesha ki taqrib-e-mulaqat se farigh hue hum
rasm-e-andesha kisi aur zamane ka gunah
aur duniyaon ka jurm
jis ki zanjir-e-mukafat mein uljhe hue hum
apne ajdad ke aasar ke derina faqir
kasa-bar-dosh sar-e-dast-e-ata jate hain
maut bar-dosh sar-e-dast-e-ata jate hain
maut aur wasl ki tabir pe sargarm-e-kalam
apni tariKH ka insaf baja late hain
rasm-e-andesha ki tariKH-e-mukafat
ke mare hue hum
- Book : Pakistani Adab (Pg. 77)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.