rau mein hai raKHsh-e-umr
rahguzar par shor-o-ġhul kā sail hai
bah rahā hai ḳhushk tinke kī tarah
ye jahān-e-rañg-o-bū
ghūmte pahiyoñ dhaḌaktī gāḌiyoñ kī hichkiyāñ
dāstāñ-dar-dāstāñ uljhī huī haiñ chār-sū
dard se sahme hue ḳhvāboñ ke lākhoñ qāfile
gāmzan haiñ su-e-hasrat hausle thāme hue
maiñ bhī un meñ tum bhī in meñ saarī duniyā un meñ hai
ḳhāmushī bhī naġhmagī bhī ashk-o-ḳhūñ bhī un meñ hai
kuchh nigāheñ arsh par haiñ kuchh nigāheñ farsh par
vaqt āñdhī kī tarah
kar rahā hai tez-tar is sail ko
ham kahāñ haiñ kaun sī manzil pe haiñ
koī batlāo koī āvāz do
koī batlāo koī āvāz do
rahguzar par shor-o-ghul ka sail hai
bah raha hai KHushk tinke ki tarah
ye jahan-e-rang-o-bu
ghumte pahiyon dhaDakti gaDiyon ki hichkiyan
dastan-dar-dastan uljhi hui hain chaar-su
dard se sahme hue KHwabon ke lakhon qafile
gamzan hain su-e-hasrat hausle thame hue
main bhi un mein tum bhi in mein sari duniya un mein hai
KHamushi bhi naghmagi bhi ashk-o-KHun bhi un mein hai
kuchh nigahen arsh par hain kuchh nigahen farsh par
waqt aandhi ki tarah
kar raha hai tez-tar is sail ko
hum kahan hain kaun si manzil pe hain
koi batlao koi aawaz do
koi batlao koi aawaz do
- Book : Lambi Barish (Pg. 20)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.