raushan KHayali
dil o dimāġh tasavvur mizāj husn-e-bayāñ
kabhī ke ho chuke raushan
tajalliyoñ ke tufail
tajalliyāñ jinheñ raushan-ḳhayāliyāñ kahiye
aziim zehn jab is raushnī meñ Duub chukā
to phir aziim tasavvur vajūd meñ aa.e
unhīñ kī chashm-e-karam ke tufail meñ be-shak
jadīd daur kī raushan-ḳhayāliyāñ 'pāpā'
na.e samāj ke kūlhoñ pe raqs kartī haiñ
dil o dimagh tasawwur mizaj husn-e-bayan
kabhi ke ho chuke raushan
tajalliyon ke tufail
tajalliyan jinhen raushan-KHayaliyan kahiye
azim zehn jab is raushni mein Dub chuka
to phir azim tasawwur wajud mein aae
unhin ki chashm-e-karam ke tufail mein be-shak
jadid daur ki raushan-KHayaliyan 'papa'
nae samaj ke kulhon pe raqs karti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.