kisī gumān kā saaya na shak kī parchhā.īñ
sarāb hai na jharoka nazar kī rāhoñ meñ
yaqīn hai ki añdherā faqat añdherā hai
fareb-e-nūr koī bhī nahīñ nigāhoñ meñ
na intizār ke ma.anī na sabr ke paimāñ
kisī dishā meñ ufaq bhī nazar nahīñ aatā
siyāhī kaalī sahī raushnā.ī hai phir bhī
na aa.e gar koī varaq-e-sahar nahīñ aatā
añdherā jitnā javāñ hai bharose-mañd utnā
usī ke dam se charāġh-e-ḳhayāl raushan hai
irāde dil kī tapish le ke jagmagāte haiñ
rah-e-javāb pe husn-e-savāl raushan hai
chalo sitāroñ ko khojeñ jalā ke mish.al-e-dil
ufaq nahīñ hai to jugnū qatār band kareñ
sahar kī chaah javāñ hai to DhūñDh leñ sūraj
nahīñ mile koī sūraj kiran kiran se buneñ
yaqīn hai ki añdherā faqat añdherā hai
siyāhī kaalī sahī raushnā.ī hai phir bhī
irāde dil kī tapish le ke jagmagāte haiñ
kisi guman ka saya na shak ki parchhain
sarab hai na jharoka nazar ki rahon mein
yaqin hai ki andhera faqat andhera hai
fareb-e-nur koi bhi nahin nigahon mein
na intizar ke mani na sabr ke paiman
kisi disha mein ufaq bhi nazar nahin aata
siyahi kali sahi raushnai hai phir bhi
na aae gar koi waraq-e-sahar nahin aata
andhera jitna jawan hai bharose-mand utna
usi ke dam se charagh-e-KHayal raushan hai
irade dil ki tapish le ke jagmagate hain
rah-e-jawab pe husn-e-sawal raushan hai
chalo sitaron ko khojen jala ke mishal-e-dil
ufaq nahin hai to jugnu qatar band karen
sahar ki chah jawan hai to DhunDh len suraj
nahin mile koi suraj kiran kiran se bunen
yaqin hai ki andhera faqat andhera hai
siyahi kali sahi raushnai hai phir bhi
irade dil ki tapish le ke jagmagate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.