raushni hai wo
raushnī hai vo
vo dhuup hai khiltī huī
jaltī huī ik lohe
apnī raushnī se
ḳhud raah meñ ujālā kartī
āñdhiyoñ se
añdheroñ se
use ḳhauf nahīñ
kāñptī lau ko
thartharā ke
sambhalne kā hunar
aatā hai
is lau ne
har samt mash.al ban kar
dikhāyā hai apnā jauhar
kitne kamāl kar ke
dekhnā ik din ye bad-gumān duniyā
mānegī us kī ahmiyat
salām kar ke use
raushni hai wo
wo dhup hai khilti hui
jalti hui ek lohe
apni raushni se
KHud rah mein ujala karti
aandhiyon se
andheron se
use KHauf nahin
kanpti lau ko
tharthara ke
sambhalne ka hunar
aata hai
is lau ne
har samt mashal ban kar
dikhaya hai apna jauhar
kitne kamal kar ke
dekhna ek din ye bad-guman duniya
manegi us ki ahmiyat
salam kar ke use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.