raushni ke minar
do samundar jahāñ aapas meñ milā karte haiñ
maiñ ne kitne sahar o shaam guzāre haiñ vahāñ
maiñ ne dekhī hai nikalte hue sūraj kī kiran
aur kal hote hue din kī shafaq dekhī hai
maiñ ne maujoñ ke talātum meñ guhar DhūñDe haiñ
aur paa.e haiñ ḳhazaf reze bhī
jaal paanī se jab ik baar nikālā maiñ ne
ik ghaḌā ret bharā haath aayā
sabt thī mohr-e-sulaimāñ jis par
aur kholā to dhueñ kā bādal
peT se us ke numūdār huā
aadmī ke liye ye behtar hai
ki muqaffal hī raheñ kuchh chīzeñ
ye fazā.eñ ye sitāre ye falak
vaqt-e-gardāñ kī musalsal Tik Tik
jānvar kiiḌe makoḌe hashrāt
machhliyāñ aur tuyūr
aur insān jo pahle din se
āḳhirī roz talak
maut kī samt chalā kartā hai
justujū par mujhe uksāte haiñ
aah lekin ye talāsh
kar ga.ī aur bhī hairāñ mujh ko
kyuuñ vo kashtī huī sūrāḳh-zada
jis meñ ham raat ko paar utre the
raah chalte hue muDbheḌ huī thī jis se
kis ḳhatā par vo javāñ qatl huā
kitne be-bahra the tahzīb se is shahr ke log
jin ko aate na the mehmān-navāzī ke tarīq
phir bhalā kis liye un kī ḳhātir
ham ne girtī huī dīvār ko tāmīr kiyā
raaz par raaz chhupā rakkhe haiñ ik būḌhe ne
aur ham haiñ ki phirā karte haiñ
har larazte hue saa.e kā ta.āqub karte
sham.a kī lau jise har aan badal detī hai
do samundar kā jahāñ sañgam hai
maiñ ba-dastūr khaḌā rahtā huuñ
dekhtā huuñ kabhī uḌte hue zarrāt kā raqs
kabhī maujoñ ko sadā detā huuñ
aur aksar shab-e-tanhā.ī meñ baiThā baiThā
un jazīroñ ko takā kartā huuñ
jin ke jalte hue, bujhte hue mīnāra-e-nūr
merī manzil kā pata dete haiñ
do samundar jahan aapas mein mila karte hain
main ne kitne sahar o sham guzare hain wahan
main ne dekhi hai nikalte hue suraj ki kiran
aur kal hote hue din ki shafaq dekhi hai
main ne maujon ke talatum mein guhar DhunDe hain
aur pae hain KHazaf reze bhi
jal pani se jab ek bar nikala main ne
ek ghaDa ret bhara hath aaya
sabt thi mohr-e-sulaiman jis par
aur khola to dhuen ka baadal
peT se us ke numudar hua
aadmi ke liye ye behtar hai
ki muqaffal hi rahen kuchh chizen
ye fazaen ye sitare ye falak
waqt-e-gardan ki musalsal Tik Tik
jaanwar kiDe makoDe hashraat
machhliyan aur tuyur
aur insan jo pahle din se
aaKHiri roz talak
maut ki samt chala karta hai
justuju par mujhe uksate hain
aah lekin ye talash
kar gai aur bhi hairan mujh ko
kyun wo kashti hui suraKH-zada
jis mein hum raat ko par utre the
rah chalte hue muDbheD hui thi jis se
kis KHata par wo jawan qatl hua
kitne be-bahra the tahzib se is shahr ke log
jin ko aate na the mehman-nawazi ke tariq
phir bhala kis liye un ki KHatir
hum ne girti hui diwar ko tamir kiya
raaz par raaz chhupa rakkhe hain ek buDhe ne
aur hum hain ki phira karte hain
har larazte hue sae ka taaqub karte
shama ki lau jise har aan badal deti hai
do samundar ka jahan sangam hai
main ba-dastur khaDa rahta hun
dekhta hun kabhi uDte hue zarraat ka raqs
kabhi maujon ko sada deta hun
aur aksar shab-e-tanhai mein baiTha baiTha
un jaziron ko taka karta hun
jin ke jalte hue, bujhte hue minara-e-nur
meri manzil ka pata dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.