raushni tez karo
raushnī tez karo, tez karo, tez karo
gum hai andesha-e-imroz kī zulmat meñ hayāt
zohra o maah se mahrūm hai jazbāt kī raat
zāfarāñ-zār bahishtoñ meñ bhī uḌtā hai ġhubār
ḳhuld-bardosh fazā.eñ haiñ jahannam ba-kanār
tishnagī sub.h kii, māmūra-e-hastī meñ hai aam
rakh do zulmat kī hathelī pe koī nuur kā jaam
aur is ġham ke añdhere ko na añgez karo
raushnī tez karo, tez karo, tez karo
dar-o-dīvār pe saa.e kī musalsal paikār
azdahe laḌte hue jaise miyān-e-kohsār
aur mehrāb-e-shikasta meñ purānī qindīl
be-par-o-bāl sī āñdhī kī satā.ī huī chiil
ḳhaak par ḳhuun meñ Duube hue qadmoñ ke nishāñ
sehn meñ kushta charāġhoñ kī chitāoñ kā dhuāñ
in chitāoñ ko saman-posh o saman-rez karo
raushnī tez karo, tez karo, tez karo
raushnī raah meñ baaqī hai na kāshānoñ meñ
qumqume TuuTe hue Dher haiñ vīrānoñ meñ
raat hai yā ki siyāhī kā koī koh-e-buland
kab sahar pheñkegī is koh pe kirnoñ kī kamand
yaas ne ziist ke ehsās ko gherā kyuuñ hai
ghuT gayā dam ye ghaTā-Top añdherā kyuuñ hai
sāthiyoñ! shīsha-e-gulnār ko gul-bez karo
raushnī tez karo, tez karo, tez karo,
jū-e-ḳhūñ chashm-e-tamannā se ravāñ hai ye kyuuñ
zindagī sū-e-tabassum nigarāñ hai ye kyuuñ
rūh-e-insāñ ko mile zulmat-e-daurāñ se najāt
saj do maġhmūm fazāoñ meñ charāġhoñ kī barāt
sogvārāna sahī jashn manānā hogā
kāñpte hāthoñ se ye jaam uThānā hogā
thaam kar dil ko uTho azm-e-tarab-ḳhez karo
raushnī tez karo, tez karo, tez karo
raushni tez karo, tez karo, tez karo
gum hai andesha-e-imroz ki zulmat mein hayat
zohra o mah se mahrum hai jazbaat ki raat
zafaran-zar bahishton mein bhi uDta hai ghubar
KHuld-bardosh fazaen hain jahannam ba-kanar
tishnagi subh ki, mamura-e-hasti mein hai aam
rakh do zulmat ki hatheli pe koi nur ka jam
aur is gham ke andhere ko na angez karo
raushni tez karo, tez karo, tez karo
dar-o-diwar pe sae ki musalsal paikar
azdahe laDte hue jaise miyan-e-kohsar
aur mehrab-e-shikasta mein purani qindil
be-par-o-baal si aandhi ki satai hui chil
KHak par KHun mein Dube hue qadmon ke nishan
sehn mein kushta charaghon ki chitaon ka dhuan
in chitaon ko saman-posh o saman-rez karo
raushni tez karo, tez karo, tez karo
raushni rah mein baqi hai na kashanon mein
qumqume TuTe hue Dher hain viranon mein
raat hai ya ki siyahi ka koi koh-e-buland
kab sahar phenkegi is koh pe kirnon ki kamand
yas ne zist ke ehsas ko ghera kyun hai
ghuT gaya dam ye ghaTa-Top andhera kyun hai
sathiyon! shisha-e-gulnar ko gul-bez karo
raushni tez karo, tez karo, tez karo,
ju-e-KHun chashm-e-tamanna se rawan hai ye kyun
zindagi su-e-tabassum nigaran hai ye kyun
ruh-e-insan ko mile zulmat-e-dauran se najat
saj do maghmum fazaon mein charaghon ki baraat
sogwarana sahi jashn manana hoga
kanpte hathon se ye jam uThana hoga
tham kar dil ko uTho azm-e-tarab-KHez karo
raushni tez karo, tez karo, tez karo
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 181)
- Author : ateequllah
- Publication : urdu academy (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.