rauzan-e-diwar-e-shab
garmī-e-ḳhurshed kā
ek naqsh-e-muztarib
rauzan-e-dīvār-e-shab
ḳhush-adā pur-kār hai
nuur se sarshār hai
sail-e-mauj-e-shahar meñ
vo utarne ko hai ab
ḳhair-maqdam ke liye
jāgte haiñ chashm-o-lab
merī ḳhātir shahr meñ
vo farozāñ jism-o-jāñ
vo daraḳhshāñ pairahan
vo sunahrā bāñkpan
sho.ala-e-tanvīr hai
ḳhuun meñ tahlīl hai
sub.h kī tasvīr hai
us kā rū-e-shādmāñ
hashr ke hañgām tak
mere dil meñ jāvedāñ
garmi-e-KHurshed ka
ek naqsh-e-muztarib
rauzan-e-diwar-e-shab
KHush-ada pur-kar hai
nur se sarshaar hai
sail-e-mauj-e-shahar mein
wo utarne ko hai ab
KHair-maqdam ke liye
jagte hain chashm-o-lab
meri KHatir shahr mein
wo farozan jism-o-jaan
wo daraKHshan pairahan
wo sunahra bankpan
shoala-e-tanwir hai
KHun mein tahlil hai
subh ki taswir hai
us ka ru-e-shadman
hashr ke hangam tak
mere dil mein jawedan
- Book : Lambi Barish (Pg. 133)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.