rauzan-e-hijr
aaj phir dasht-e-vafā meñ
tirī yādoñ ke sarāb
mujh ko bhaTkā.e chale jaate haiñ
aur is dasht meñ
maiñ yūñhī akelā chup-chāp
ret par DhūñDhtā rahtā huuñ
na-jāne kyā kyā
terī ḳhushbū tire ḳhad
tere qadam terā ḳhayāl
jaane kyā DhūñDhtā rahtā huuñ
musalsal mirī jaañ
dā.era-vār bagūle se mirī āñkhoñ meñ
aise phirte haiñ ki
har samt tirī yaad kī ḳhaak
chār-sū phail ke har shai ko chhupā letī hai
terī ḳhushbū tire ḳhad
tere qadam terā ḳhayāl
ḳhaak har shai ko chhupā letī hai
mauja-e-dīd ko nādīda banā detī hai
vaqt-e-maujūd ko mahdūd sā kar detī hai
lekin aise meñ mirī jaan
tire hijr kā lams
mujh ko an-dekhī mohabbat kā yaqīñ detā hai
paañv meñ chubhte hue ret ke zarre us dam
dūr-uftāda manāzil kā pata dete haiñ
phir jhulastā huā sūraj bhī sukūñ detā hai
kū-ba-kū phailtā jaatā hai hisār-e-man-o-tū
rauzan-e-hijr se manzil kā pata miltā hai
aaj phir dasht-e-wafa mein
teri yaadon ke sarab
mujh ko bhaTkae chale jate hain
aur is dasht mein
main yunhi akela chup-chap
ret par DhunDhta rahta hun
na-jaane kya kya
teri KHushbu tere KHad
tere qadam tera KHayal
jaane kya DhunDhta rahta hun
musalsal meri jaan
daera-war bagule se meri aankhon mein
aise phirte hain ki
har samt teri yaad ki KHak
chaar-su phail ke har shai ko chhupa leti hai
teri KHushbu tere KHad
tere qadam tera KHayal
KHak har shai ko chhupa leti hai
mauja-e-did ko nadida bana deti hai
waqt-e-maujud ko mahdud sa kar deti hai
lekin aise mein meri jaan
tere hijr ka lams
mujh ko an-dekhi mohabbat ka yaqin deta hai
panw mein chubhte hue ret ke zarre us dam
dur-uftada manazil ka pata dete hain
phir jhulasta hua suraj bhi sukun deta hai
ku-ba-ku phailta jata hai hisar-e-man-o-tu
rauzan-e-hijr se manzil ka pata milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.