rawan hun main
ravāñ huuñ maiñ
aur is ravānī meñ
ahd-dar-ahd kī jarāhat-numā basārat kī ḳhaak kā vo bhañvar hai
jis meñ
mire shab-o-roz kā ġhubār-e-siyah
mire sañg ghūmtā hai
ravāñ huuñ maiñ
aur ḳhud pe aur sab pe hañs rahā huuñ
ki merī mānind ham sabhī vaqt kī khaḌī cycle kā
gardish-pazīr pahiya haiñ nā-masāfat-e-nau rū-gardāñ
ki nā-rasā.ī ke ḳhisht-ḳhānoñ kī chimniyoñ se nikalne vaale
hurūf-e-paspā ke sab dhueñ sarf-e-rā.egāñ haiñ
ye mehvar-e-ḳhāk kyā hai
kis gardish-e-muallaq kā isti.āra hai
ham kahāñ haiñ
maiñ hañs rahā huuñ
safed-mū sir pe kuhl-umrī kī barf rakkhe
ki aaj maiñ apne ahd kā aur shahr kā vo zamīr bhī huuñ
jo aaj aur kal ke moḌ par hai
jo dekhtā aur sochtā hai
ki ham buzurgān-e-sāhab-e-iḳhtiyār kī umr-ḳhurda dānish
khaḌe safar ke asiir vaqtoñ kī kaisī zanjīr ban ga.ī hai
ki jo hamārī siyah-shab ḳhaak se lipaT kar
sabhī kī taqdīr ban ga.ī hai
jo aaj se milne vaale kal kī har ek saa.at pe halqa halqa utar rahī hai
jo sochtā hai
ki ham buzurgān-e-sāhab-e-iḳhtiyār kī aañkh ḳhud se kaT kar
hamārī nauha-garī kī ārāsta shabīhoñ ko kal ke imkān ke nashroñ ko kab paḌegī
jo sochtā hai
ki ye salāsil kī raat lambī hai
aur na jaane tulū-e-sub.h-e-najāt kab ho
ki ham buzurgān-e-sāhab-e-iḳhtiyār ke faisle kī saa.at
hamāre ḳhvāboñ ke saath kab ho
rawan hun main
aur is rawani mein
ahd-dar-ahd ki jarahat-numa basarat ki KHak ka wo bhanwar hai
jis mein
mere shab-o-roz ka ghubar-e-siyah
mere sang ghumta hai
rawan hun main
aur KHud pe aur sab pe hans raha hun
ki meri manind hum sabhi waqt ki khaDi cycle ka
gardish-pazir pahiya hain na-masafat-e-nau ru-gardan
ki na-rasai ke KHisht-KHanon ki chimniyon se nikalne wale
huruf-e-paspa ke sab dhuen sarf-e-raegan hain
ye mehwar-e-KHak kya hai
kis gardish-e-muallaq ka istiara hai
hum kahan hain
main hans raha hun
safed-mu sir pe kuhl-umri ki barf rakkhe
ki aaj main apne ahd ka aur shahr ka wo zamir bhi hun
jo aaj aur kal ke moD par hai
jo dekhta aur sochta hai
ki hum buzurgan-e-sahab-e-iKHtiyar ki umr-KHurda danish
khaDe safar ke asir waqton ki kaisi zanjir ban gai hai
ki jo hamari siyah-shab KHak se lipaT kar
sabhi ki taqdir ban gai hai
jo aaj se milne wale kal ki har ek saat pe halqa halqa utar rahi hai
jo sochta hai
ki hum buzurgan-e-sahab-e-iKHtiyar ki aankh KHud se kaT kar
hamari nauha-gari ki aarasta shabihon ko kal ke imkan ke nashron ko kab paDegi
jo sochta hai
ki ye salasil ki raat lambi hai
aur na jaane tulu-e-subh-e-najat kab ho
ki hum buzurgan-e-sahab-e-iKHtiyar ke faisle ki saat
hamare KHwabon ke sath kab ho
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 311)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.