reKHta
reḳhta jis kā baḌā naam hai kyā arz karūñ
ye hamāre liye in.aam hai kyā arz karūñ
faal nek is kā hai urdu ke liye apnā vajūd
jis kā faizān-e-nazar aam hai kyā arz karūñ
aap ḳhud dekh leñ kahne pe na jaa.eñ mere
vo bhī is meñ hai jo gumnām hai kyā arz karūñ
merā majmūa-e-ash.ār hai is kī zīnat
bāda-e-shauq kā ye jaam hai kyā arz karūñ
apnī mīrās-e-adab karte haiñ kaise mahfūz
is kā sab ke liye paiġhām hai kyā arz karūñ
kisī muslim ko na dī is kī ḳhudā ne taufīq
aap bhī dekh leñ kyā kaam hai kyā arz karūñ
ye kutub-ḳhāna-e-mārūf adab kā 'barqī'
aisī ik jalva-gah-e-ām hai kyā arz karūñ
reKHta jis ka baDa nam hai kya arz karun
ye hamare liye inam hai kya arz karun
fal nek is ka hai urdu ke liye apna wajud
jis ka faizan-e-nazar aam hai kya arz karun
aap KHud dekh len kahne pe na jaen mere
wo bhi is mein hai jo gumnam hai kya arz karun
mera majmua-e-ashaar hai is ki zinat
baada-e-shauq ka ye jam hai kya arz karun
apni miras-e-adab karte hain kaise mahfuz
is ka sab ke liye paigham hai kya arz karun
kisi muslim ko na di is ki KHuda ne taufiq
aap bhi dekh len kya kaam hai kya arz karun
ye kutub-KHana-e-maruf adab ka 'barqi'
aisi ek jalwa-gah-e-am hai kya arz karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.