mahadev-ji ka byah
pahle naañv ganesh kaa, lījiye siis navā.e
jā se kāraj sidh hoñ, sadā mahūrat laa.e
bol bachan ānand ke, prem, piit aur chaah
sun lo yāro, dhyān dhar, mahādev kā byaah
jogī jañgam se sunā, vo bhī kiyā bayān
aur kathā meñ jo sunā, us kā bhī parmān
sunñe vaale bhī raheñ hañsī ḳhushī din rain
aur paḌheñ jo yaad kar, un ko bhī sukh chain
aur jis ne is byaah kii, mahimā kahī banā.e
us ke bhī har haal meñ, shiv-jī raheñ suhā.e
ḳhushī rahe din raat vo, kabhī na ho dil-gīr
mahimā us kī bhī rahe jis kā naam 'nazīr'
pahle nanw ganesh ka, lijiye sis nawae
ja se karaj sidh hon, sada mahurat lae
bol bachan aanand ke, prem, pit aur chah
sun lo yaro, dhyan dhar, mahadew ka byah
jogi jangam se suna, wo bhi kiya bayan
aur katha mein jo suna, us ka bhi parman
sunne wale bhi rahen hansi KHushi din rain
aur paDhen jo yaad kar, un ko bhi sukh chain
aur jis ne is byah ki, mahima kahi banae
us ke bhi har haal mein, shiw-ji rahen suhae
KHushi rahe din raat wo, kabhi na ho dil-gir
mahima us ki bhi rahe jis ka nam 'nazir'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.