naya shiwala
Interesting Fact
From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)
sach kah duuñ ai barhaman gar tū burā na maane
tere sanam-kadoñ ke but ho ga.e purāne
apnoñ se bair rakhnā tū ne butoñ se sīkhā
jañg-o-jadal sikhāyā vaa.iz ko bhī ḳhudā ne
tañg aa ke maiñ ne āḳhir dair o haram ko chhoḌā
vaa.iz kā va.az chhoḌā chhoḌe tire fasāne
patthar kī mūratoñ meñ samjhā hai tū ḳhudā hai
ḳhāk-e-vatan kā mujh ko har zarra devtā hai
aa ġhairiyat ke parde ik baar phir uThā deñ
bichhḌoñ ko phir milā deñ naqsh-e-duī miTā deñ
suunī paḌī huī hai muddat se dil kī bastī
aa ik nayā shivāla is des meñ banā deñ
duniyā ke tīrathoñ se ūñchā ho apnā tīrath
dāmān-e-āsmāñ se is kā kalas milā deñ
har sub.h uTh ke gaa.eñ mantar vo mīThe mīThe
saare pujāriyoñ ko mai piit kī pilā deñ
shaktī bhī shāntī bhī bhagtoñ ke giit meñ hai
dhartī ke bāsiyoñ kī muktī priit meñ hai
sach kah dun ai barhaman gar tu bura na mane
tere sanam-kadon ke but ho gae purane
apnon se bair rakhna tu ne buton se sikha
jang-o-jadal sikhaya waiz ko bhi KHuda ne
tang aa ke main ne aaKHir dair o haram ko chhoDa
waiz ka waz chhoDa chhoDe tere fasane
patthar ki muraton mein samjha hai tu KHuda hai
KHak-e-watan ka mujh ko har zarra dewta hai
aa ghairiyat ke parde ek bar phir uTha den
bichhDon ko phir mila den naqsh-e-dui miTa den
suni paDi hui hai muddat se dil ki basti
aa ek naya shiwala is des mein bana den
duniya ke tirathon se uncha ho apna tirath
daman-e-asman se is ka kalas mila den
har subh uTh ke gaen mantar wo miThe miThe
sare pujariyon ko mai pit ki pila den
shakti bhi shanti bhi bhagton ke git mein hai
dharti ke basiyon ki mukti prit mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.