watan ka rag
bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai
har rut har ik mausam is kā kaisā pyārā pyārā hai
kaisā suhānā kaisā sundar pyārā des hamārā hai
dukh meñ sukh meñ har hālat meñ bhārat dil kā sahārā hai
bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai
saare jag ke pahāḌoñ meñ be-misl pahāḌ himāla hai
parbat sab se ūñchā hai ye parbat sab se nirālā hai
bhārat kī rakhshā kartā hai bhārat kā rakhvālā hai
lākhoñ chashme bahte haiñ is meñ lākhoñ nadiyoñ vaalā hai
bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai
gañgā-jī kī pyārī lahreñ giit sunātī jaatī haiñ
sadiyoñ kī tahzīb hamārī yaad dilātī jaatī haiñ
bhārat kī gulzāroñ ko sarsabz banātī jaatī haiñ
khetoñ ko hariyālī detī phuul khilātī jaatī haiñ
bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai
hare-bhare haiñ khet hamāre duniyā ko an dete haiñ
chāñdī sone kī kānoñ se ham jag ko dhan dete haiñ
prem ke pyāre phuul kī ḳhushbū gulshan gulshan dete haiñ
amn-o-amāñ kī ne.amat sab ko bhar bhar dāman dete haiñ
bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai
'krishn' kī bansī ne phūñkī hai ruuh hamārī jānoñ meñ
'gautam' kī āvāz basī hai mahloñ meñ maidānoñ meñ
'chishtī' ne jo dī thī mai vo ab tak hai paimānoñ meñ
'nānak' kī ta.alīm abhī tak guuñj rahī hai kānoñ meñ
bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai
maz.hab kuchh ho hindī haiñ ham saare bhaa.ī bhaa.ī haiñ
hindū haiñ yā muslim haiñ yā sikh haiñ yā īsā.ī haiñ
prem ne sab ko ek kiyā hai prem ke ham shaidā.ī haiñ
bhārat naam ke āshiq haiñ ham bhārat ke saudā.ī haiñ
bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
har rut har ek mausam is ka kaisa pyara pyara hai
kaisa suhana kaisa sundar pyara des hamara hai
dukh mein sukh mein har haalat mein bhaarat dil ka sahaara hai
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
sare jag ke pahaDon mein be-misl pahaD himala hai
parbat sab se uncha hai ye parbat sab se nirala hai
bhaarat ki rakhsha karta hai bhaarat ka rakhwala hai
lakhon chashme bahte hain is mein lakhon nadiyon wala hai
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
ganga-ji ki pyari lahren git sunati jati hain
sadiyon ki tahzib hamari yaad dilati jati hain
bhaarat ki gulzaron ko sarsabz banati jati hain
kheton ko hariyali deti phul khilati jati hain
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
hare-bhare hain khet hamare duniya ko an dete hain
chandi sone ki kanon se hum jag ko dhan dete hain
prem ke pyare phul ki KHushbu gulshan gulshan dete hain
amn-o-aman ki neamat sab ko bhar bhar daman dete hain
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
'krishn' ki bansi ne phunki hai ruh hamari jaanon mein
'gautam' ki aawaz basi hai mahlon mein maidanon mein
'chishti' ne jo di thi mai wo ab tak hai paimanon mein
'nanak' ki talim abhi tak gunj rahi hai kanon mein
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
mazhab kuchh ho hindi hain hum sare bhai bhai hain
hindu hain ya muslim hain ya sikh hain ya isai hain
prem ne sab ko ek kiya hai prem ke hum shaidai hain
bhaarat nam ke aashiq hain hum bhaarat ke saudai hain
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
- Book : Azadi Ki Nazmein (Pg. 59)
- Author : Sibte Hasan
- Publication : National Council For Promotion Of Urdu Language (1985,2007)
- Edition : 1985,2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.