zarurat-e-ittihad
yā ḳhudā hind par karam farmā
is kī taklīf kal-adam farmā
haiñ pareshāñ bahut havās is ke
nahīñ hamdard koī paas is ke
faqr-o-fāqa se pā.emāl hai ab
qarz meñ is kā baal baal hai ab
na hī san.at na ab tijārat hai
saarī āsūdgī vo ġhārat hai
ilm-o-fan se hai is kā ghar ḳhālī
aql o idrāk se hai sar ḳhālī
achchhe atvār miT ga.e is ke
nek kirdār miT ga.e is ke
ḳhulq hai ab na mehr-o-ulfat hai
ātishī hai na ab uḳhuvvat hai
rañg bilkul hai mulk kā badlā
saarā paanī hai chaah kā gadlā
har taraf jahl hai laḌā.ī hai
dushman aapas meñ bhaa.ī bhaa.ī hai
na mohabbat hai ab na hamdardī
na dilerī na ab javāñ-mardī
na ravā-dārī o sharāfat hai
na ab amn-o-amān o rāhat hai
har taraf hai fasād hañgāma
koī rustam hai aur koī gaamā
ab kahāñ sulh-o-ḳhair kī bāteñ
jab haiñ kānoñ meñ ġhair kī bāteñ
john-bill kī haiñ sāzisheñ jaarī
mulk par haiñ navāzisheñ jaarī
ek se hai kabhī shanāsā.ī
dūsre ke liye kabhī saa.ī
kabhī in ko laḌā diyā sab se
kabhī un ko bhiḌā diyā sab se
kabhī in ko police o thāna hai
aur kabhī un ko jail-ḳhāna hai
yahī manzar yahāñ hai shām-o-sahar
bas yahī ho rahā hai aaTh pahar
jāntā hai har ik ye sab bāteñ
phir bhī ḳhālī nahīñ havālāteñ
vahī jañg-o-jadal vahī jhagḌe
vahī buġhz-o-enād ke ragḌe
yā ḳhudā de hameñ vo aql-e-salīm
ki samajh ham sakeñ har ik scheme
paḌ sake phir na koī zad ham par
khul sakeñ saare nek-o-bad ham par
ḳhatm kar deñ ye tafraqa-sāzī
aag meñ jhoñk deñ tabar-yāzī
sab kareñ mil ke mulk kī ḳhidmat
duur ho is kī usrat-o-nakbat
hikmat o fan vatan meñ phailā.eñ
shāhrāheñ masal kī khul jaa.eñ
ilm o science mulk meñ bhar deñ
is zamīñ ko ham āsmāñ kar deñ
ham pe khul jaa.eñ sab vo aql ke raaz
ho is kā europe ke turra-e-e.azāz
san.atoñ kī ho garm-bāzārī
gaañv gaañv meñ hoñ mileñ jaarī
rail, motor, jahāz, tayyāre
ḳhud ye tayār ham kareñ saare
kabhī sahrā ho mustaqar apnā
ho kabhī Tāpūoñ meñ ghar apnā
manchester pe ḳhaak Dāleñge
ghar se jāpān ko nikāleñ ham
na raheñ ham kisī ke bhī muhtāj
mulk apnā ho aur apnā raaj
ham meñ gar ittihād ho jaa.e
mulk ābād shaad ho jaa.e
ya KHuda hind par karam farma
is ki taklif kal-adam farma
hain pareshan bahut hawas is ke
nahin hamdard koi pas is ke
faqr-o-faqa se paemal hai ab
qarz mein is ka baal baal hai ab
na hi sanat na ab tijarat hai
sari aasudgi wo ghaarat hai
ilm-o-fan se hai is ka ghar KHali
aql o idrak se hai sar KHali
achchhe atwar miT gae is ke
nek kirdar miT gae is ke
KHulq hai ab na mehr-o-ulfat hai
aatishi hai na ab uKHuwwat hai
rang bilkul hai mulk ka badla
sara pani hai chah ka gadla
har taraf jahl hai laDai hai
dushman aapas mein bhai bhai hai
na mohabbat hai ab na hamdardi
na dileri na ab jawan-mardi
na rawa-dari o sharafat hai
na ab amn-o-aman o rahat hai
har taraf hai fasad hangama
koi rustam hai aur koi gama
ab kahan sulh-o-KHair ki baaten
jab hain kanon mein ghair ki baaten
john-bill ki hain sazishen jari
mulk par hain nawazishen jari
ek se hai kabhi shanasai
dusre ke liye kabhi sai
kabhi in ko laDa diya sab se
kabhi un ko bhiDa diya sab se
kabhi in ko police o thana hai
aur kabhi un ko jail-KHana hai
yahi manzar yahan hai sham-o-sahar
bas yahi ho raha hai aaTh pahar
jaanta hai har ek ye sab baaten
phir bhi KHali nahin hawalaten
wahi jang-o-jadal wahi jhagDe
wahi bughz-o-enad ke ragDe
ya KHuda de hamein wo aql-e-salim
ki samajh hum saken har ek scheme
paD sake phir na koi zad hum par
khul saken sare nek-o-bad hum par
KHatm kar den ye tafraqa-sazi
aag mein jhonk den tabar-yazi
sab karen mil ke mulk ki KHidmat
dur ho is ki usrat-o-nakbat
hikmat o fan watan mein phailaen
shahrahen masal ki khul jaen
ilm o science mulk mein bhar den
is zamin ko hum aasman kar den
hum pe khul jaen sab wo aql ke raaz
ho is ka europe ke turra-e-eazaz
sanaton ki ho garm-bazari
ganw ganw mein hon milen jari
rail, motor, jahaz, tayyare
KHud ye tayar hum karen sare
kabhi sahra ho mustaqar apna
ho kabhi Tapuon mein ghar apna
manchester pe KHak Dalenge
ghar se japan ko nikalen hum
na rahen hum kisi ke bhi muhtaj
mulk apna ho aur apna raj
hum mein gar ittihad ho jae
mulk aabaad shad ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.