remote
aisā ek remote banā.eñ
jis se ghar ghar sukh phailā.eñ
haiñ ye sundar ḳhvāb hamāre
laa.eñ zamīñ pe chāñd sitāre
nal se nikle duudh kī dhārā
rangīñ titlī rath ho hamārā
kheleñ chāchā gullī DañDā
bhañgDā nācheñ daadī daadā
khā.eñ machhlī aam kā halva
jar meñ ho duniyā kā jalva
meñDak gaay megh malhār
jheñgur bolā le ke giTār
khulī fazā ākāsh ke nīche
kyā hai fitrat raaz ye samjhe
jab chāheñ ham bārish barse
ro.eñ na sailāb ke Dar se
science ke is daur meñ bachcho
jag ke nirāle taur meñ bachcho
kaam leñ aisā ham atom se
paa.e rihā.ī duniyā ġham se
aisa ek remote banaen
jis se ghar ghar sukh phailaen
hain ye sundar KHwab hamare
laen zamin pe chand sitare
nal se nikle dudh ki dhaara
rangin titli rath ho hamara
khelen chacha gulli DanDa
bhangDa nachen dadi dada
khaen machhli aam ka halwa
jar mein ho duniya ka jalwa
meinDak gay megh malhaar
jhengur bola le ke giTar
khuli faza aakash ke niche
kya hai fitrat raaz ye samjhe
jab chahen hum barish barse
roen na sailab ke Dar se
science ke is daur mein bachcho
jag ke nirale taur mein bachcho
kaam len aisa hum atom se
pae rihai duniya gham se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.