report
qāzi-e-shahr ho ijāzat to
maiñ bhī apnī pareshāñ-hālī kahūñ
ka.ī rāteñ haiñ āñkhoñ meñ kāTīñ
ka.ī din se bahut harāsāñ huuñ
ik sadā sī hai siine meñ jaise
chal rahī hoñ havā meñ talvāreñ
kaT rahe hoñ havā ke bāzū-o-sar
jab bhī suntā huuñ chauñk uThtā huuñ
tang aa ke maiñ aaj kahtā huuñ
mere siine ke band kamre meñ
parvarish pā rahā hai ik qātil
pahle merī report likh liije
aur jo ho sake madad kiije
qazi-e-shahr ho ijazat to
main bhi apni pareshan-haali kahun
kai raaten hain aankhon mein kaTin
kai din se bahut harasan hun
ek sada si hai sine mein jaise
chal rahi hon hawa mein talwaren
kaT rahe hon hawa ke bazu-o-sar
jab bhi sunta hun chaunk uThta hun
tang aa ke main aaj kahta hun
mere sine ke band kamre mein
parwarish pa raha hai ek qatil
pahle meri report likh lije
aur jo ho sake madad kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.