KHud-kushi se pahle
zindagī naach ki har lamha hai jannat-ba-kanār
dekh ye lab haiñ ye āñkheñ ye gulābī ruḳhsār
phir na aa.egī palaT kar tirī duniyā meñ bahār
aaj kī raat ġhanīmat hai charāġhāñ kar leñ
ek añgḌā.ī jo lī khul ga.iiñ kaalī zulfeñ
phir mujhe khīñch rahī haiñ ye ghanerī palkeñ
dekh haijān se larzāñ haiñ ye aariz kī rageñ
aaj us jins-e-girāñ-bār ko arzāñ kar leñ
aaj kī raat ġhanīmat hai charāġhāñ kar leñ
dekh vo hoñT hile haath uThe saaz baje
dekh pāzeb kī har lai pe sitāre chauñke
āsmānoñ pe farishtoñ ke vuzū TuuT ga.e
aaj ma.asūm ḳhudāoñ ko bhī mehmāñ kar leñ
aaj kī raat ġhanīmat hai charāġhāñ kar leñ
raat kuchh bhiig chalī aur jamāhī aa.ī
jhilmilātī huī sham.oñ kī ziyā kaañp ga.ī
rakh de ye ātish-e-sayyāl ki phir aag lagī
āḳhirī baar har ik dard kā darmāñ kar leñ
aaj kī raat ġhanīmat hai charāġhāñ kar leñ
kyā ġharaz vaqt ke māthe pe shikan hai ki nahīñ
merī mahbūb kalā.ī meñ rasan hai ki nahīñ
terā āñchal hī shahīdoñ kā kafan hai ki nahīñ
har haqīqat ko usī ḳhvāb meñ ġhaltāñ kar leñ
aaj kī raat ġhanīmat hai charāġhāñ kar leñ
zindagi nach ki har lamha hai jannat-ba-kanar
dekh ye lab hain ye aankhen ye gulabi ruKHsar
phir na aaegi palaT kar teri duniya mein bahaar
aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len
ek angDai jo li khul gain kali zulfen
phir mujhe khinch rahi hain ye ghaneri palken
dekh haijaan se larzan hain ye aariz ki ragen
aaj us jins-e-giran-bar ko arzan kar len
aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len
dekh wo honT hile hath uThe saz baje
dekh pazeb ki har lai pe sitare chaunke
aasmanon pe farishton ke wuzu TuT gae
aaj masum KHudaon ko bhi mehman kar len
aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len
raat kuchh bhig chali aur jamahi aai
jhilmilati hui shamon ki ziya kanp gai
rakh de ye aatish-e-sayyal ki phir aag lagi
aaKHiri bar har ek dard ka darman kar len
aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len
kya gharaz waqt ke mathe pe shikan hai ki nahin
meri mahbub kalai mein rasan hai ki nahin
tera aanchal hi shahidon ka kafan hai ki nahin
har haqiqat ko usi KHwab mein ghaltan kar len
aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len
- Book : Aina Khane (Pg. 190)
- Author : Akhtar payami
- Publication : Zain Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.