KHun phir KHun hai
Interesting Fact
Ek Maqtuul Lommba, ek zinda Lommba se kahin ziyaada taaqat-var hota hai'- Jawaharlal Nehru
zulm phir zulm hai baḌhtā hai to miT jaatā hai
ḳhuun phir ḳhuun hai Tapkegā to jam jā.egā
ḳhāk-e-sahrā pe jame yā kaf-e-qātil pe jame
farq-e-insāf pe yā pā-e-salāsil pe jame
teġh-e-be-dād pe yā lāsha-e-bismil pe jame
ḳhuun phir ḳhuun hai Tapkegā to jam jā.egā
laakh baiThe koī chhup-chhup ke kamīñ-gāhoñ meñ
ḳhuun ḳhud detā hai jalladoñ ke maskan kā surāġh
sāzisheñ laakh uḌātī rahīñ zulmat kī naqāb
le ke har buuñd nikaltī hai hathelī pe charāġh
zulm kī qismat-e-nākāra-o-rusvā se kaho
jabr kī hikmat-e-parkār ke iimā se kaho
mahmil-e-majlis-e-aqvām kī lailā se kaho
ḳhuun dīvāna hai dāman pe lapak saktā hai
sho.ala-e-tund hai ḳhirman pe lapak saktā hai
tum ne jis ḳhuun ko maqtal meñ dabānā chāhā
aaj vo kūcha o bāzār meñ aa niklā hai
kahīñ sho.ala kahīñ na.ara kahīñ patthar ban kar
ḳhuun chaltā hai to ruktā nahīñ sangīnoñ se
sar uThātā hai to dabtā nahīñ ā.īnoñ se
zulm kī baat hī kyā zulm kī auqāt hī kyā
zulm bas zulm hai āġhāz se anjām talak
ḳhuun phir ḳhuun hai sau shakl badal saktā hai
aisī shakleñ ki miTāo to miTā.e na bane
aaise sho.ale ki bujhāo to bujhā.e na bane
aaise na.are ki dabāo to dabā.e na bane
zulm phir zulm hai baDhta hai to miT jata hai
KHun phir KHun hai Tapkega to jam jaega
KHak-e-sahra pe jame ya kaf-e-qatil pe jame
farq-e-insaf pe ya pa-e-salasil pe jame
tegh-e-be-dad pe ya lasha-e-bismil pe jame
KHun phir KHun hai Tapkega to jam jaega
lakh baiThe koi chhup-chhup ke kamin-gahon mein
KHun KHud deta hai jalladon ke maskan ka suragh
sazishen lakh uDati rahin zulmat ki naqab
le ke har bund nikalti hai hatheli pe charagh
zulm ki qismat-e-nakara-o-ruswa se kaho
jabr ki hikmat-e-parkar ke ima se kaho
mahmil-e-majlis-e-aqwam ki laila se kaho
KHun diwana hai daman pe lapak sakta hai
shoala-e-tund hai KHirman pe lapak sakta hai
tum ne jis KHun ko maqtal mein dabana chaha
aaj wo kucha o bazar mein aa nikla hai
kahin shoala kahin nara kahin patthar ban kar
KHun chalta hai to rukta nahin sanginon se
sar uThata hai to dabta nahin aainon se
zulm ki baat hi kya zulm ki auqat hi kya
zulm bas zulm hai aaghaz se anjam talak
KHun phir KHun hai sau shakl badal sakta hai
aisi shaklen ki miTao to miTae na bane
aaise shoale ki bujhao to bujhae na bane
aaise nare ki dabao to dabae na bane
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 200)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.