uTTho marne ka haq istimal karo
jiine kā haq sāmrāj ne chhīn liyā
uTTho marne kā haq istimāl karo
zillat ke jiine se marnā behtar hai
miT jaao yā qasr-e-sitam pāmāl karo
sāmrāj ke dost hamāre dushman haiñ
inhī se aañsū aa.heñ āñgan āñgan haiñ
inhī se qatl-e-ām huā āshāoñ kā
inhī se vīrāñ ummīdoñ kā gulshan hai
bhuuk nañg sab den inhī kī hai logo
bhuul ke bhī mat in se arz-e-hāl karo
jiine kā haq sāmrāj ne chhīn liyā
uTTho marne kā haq istimāl karo
sub.h-o-shām filistīñ meñ ḳhuuñ bahtā hai
sāya-e-marg meñ kab se insāñ rahtā hai
band karo ye bāvardī ġhunda-gardī
baat ye ab to ek zamāna kahtā hai
zulm ke hote amn kahāñ mumkin yaaro
ise miTā kar jag meñ amn bahāl karo
jiine kā haq sāmrāj ne chhīn liyā
uTTho marne kā haq istimāl karo
jine ka haq samraj ne chhin liya
uTTho marne ka haq istimal karo
zillat ke jine se marna behtar hai
miT jao ya qasr-e-sitam pamal karo
samraj ke dost hamare dushman hain
inhi se aansu aahen aangan aangan hain
inhi se qatl-e-am hua aashaon ka
inhi se viran ummidon ka gulshan hai
bhuk nang sab den inhi ki hai logo
bhul ke bhi mat in se arz-e-haal karo
jine ka haq samraj ne chhin liya
uTTho marne ka haq istimal karo
subh-o-sham filistin mein KHun bahta hai
saya-e-marg mein kab se insan rahta hai
band karo ye bawardi ghunda-gardi
baat ye ab to ek zamana kahta hai
zulm ke hote amn kahan mumkin yaro
ise miTa kar jag mein amn bahaal karo
jine ka haq samraj ne chhin liya
uTTho marne ka haq istimal karo
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 374)
- Author : habib jaalib
- Publication : Tahir publishar,lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.